|| Chalisa ||
Dayasindhu Kunthu Jinraaj,
Bhavasindhu Tirane Ko Jahaaj.
Kaamdev… Chakri Maharaj,
Daya Karo Hum Par Bhi Aaj.
Jai Shri Kunyunath Gunakhan,
Param Yashasvi Mahimavaan.
Hastinapur Nagari Ke Bhupati,
Shoorsen Kuruvanshi Adhipati.
Maharani Thi Shrimati Unki,
Varsha Hoti Thi Ratanan Ki.
Pratipada Baisakh Ujiyaari,
Janme Teerthakar Baladhari.
Gahan Bhakti Apne Ur Dhare,
Hastinapur Aaye Sur Saare.
Indra Prabhu Ko God Mein Le Kar,
Gayi Sumeru Harshit Hokar.
Nahvan Karen Nirmal Jal Le Kar,
Taandav Nritya Kare Bhakvi Bhar.
Kunthunath Naam Shubh Dekar,
Indra Karen Stavan Manohar.
Divya Vastra-Bhushan Pehnaaye,
Vaapis Hastinapur Ko Aaye.
Kam-Kram Se Badhe Balendu Sam,
Yauvan Shobha Dhare Hitkaar.
Dhanu Paintaalis Unnat Prabhu Tan,
Uttam Shobha Dhare Anupam.
Aayu Pinchaanve Varsh Hazaar,
Lakshan ‘Aj’ Dhare Hitkaar.
Rajyabhishek Hua Vidhipoorvak,
Shasan Karen Suneeti Poorvak.
Chakratantan Shubh Prapt Hua Jab,
Chakravarti Kahaalaye Prabhu Tab.
Ek Din Gaye Prabhu Upvan Mein,
Shaant Muni Ik Dekhe Mag Mein.
Angoothi Se Kiya Tabhi Sandesh,
“Dekho Muniko” – Kaha Mantri Se.
Mantri Ne Poocha Jab Kaaran,
“Kiya Mokshahit Munipad Dharan”.
Kaaran Karen Aur Sphast,
“Munipad Se Hi Karm Hon Nasht”.
Mantron Ka To Hua Bahana,
Kiya Vastutah Nij Kalyana.
Chin Virakt Hua Vishayon Se,
Tattva Chintan Karte Bhavon Se.
Nij Sut Ko Saumpa Sab Raj,
Gaye Sahetuk Van Jinraaj.
Panchamusti Se Kaishalaunchar,
Dhara Liya Pad Nagan Digambar.
Teen Din Baad Gaye Gajpur Ko,
Dharmamitra Pargahen Prabhu Ko.
Maun Rahe Solah Varsho Tak,
Sahye Sheet-Varsha Aur Aatap.
Sthir Hue Tilak Taru-Jal Mein,
Magan Hue Nij Dhyan Atal Mein.
Aatma Ne Badh Gayi Vishuddhi,
Kaivalya Gyan Ki Ho Gayi Siddhi.
Suryaprabha Sam Sohe Apt,
Digmandal Shobha Hui Vyapt.
Samosaran Rachna Sukhakaar,
Gyanaripit Baithe Nar-Naar.
Vishay-Bhog Maha Vishmay Hai,
Man Ko Kar Dete Tanmay Hai.
Vish Se Marte Ek Janam Mein,
Bhog Vishakt Mare Bhav-Bhav Mein.
Kshan Bhangur Maanab Ka Jivan,
Vidyutwan Vinase Agale Kshan.
Sandhya Lalima Ke Sadrish Hi,
Yauvan Ho Jata Adrish Hi.
Jab Tak Aatam Buddhi Nahi Ho,
Tab Tak Darash Vishuddhi Nahin Haun.
Pahle Vijit Karo Panchendriya,
Aatmabal Se Bano Jitendriya.
Bhavya Bharati Prabhu Ki Sunkar,
Shravakjan Anandit Ho Kar.
Shraddha Se Vrat Dharan Karte,
Shubh Bhavon Ka Arjan Karte.
Shubhayu Ek Maas Rahi Jab,
Shail Sammed Pe Vaas Kiya Tab.
Dhara Pratima Rog Vaha Par,
Kaata Karmabandh Sab Prabhuvr.
Moksha Kalyanak Karte Surgan,
Koot Gyanadhar Karte Poojan.
Chakri… Kaamdev… Teerthankar,
Kunthunath The Param Hitankar.
Chalisa Jo Padhe Bhav Se,
Swayamsiddh Hon Nij Swabhav Se.
Dharm Chakra Ke Liye Prabhu Ne,
Chakra Sudarshan Taj Daala.
Isi Bhavana Ne Aruna Ko,
Kiya Gyan Mein Matwala.
|| Om Hreem Arham Shri Kunthanathaya Namah ||
Found a Mistake or Error? Report it Now