Download HinduNidhi App
Misc

Shri Bade Baba Kundalpur Chalisa

MiscChalisa (चालीसा संग्रह)English
Share This

|| Doha ||

Dukh haran mangal karan,
Mahavir Bhagwan.
Tinke charanavind ko
Bar-bar pranam.
Shri Dhar Kevali Moksha gaye,
Kundal Giri se aaye.
Tinke pad ko vandate,
Pap klesh mit jaaye.

|| Chaupai ||

Bade Baba ka sumare nama,
Puran hove bigade kaama.
Jisne naam japa Prabhu tera,
Utha vahan se kasht ka dera.

Bade Baba ka jo dhyan lagave,
Rog dukh se mukti paave.
Jeevan naiya fasi majhdhaar,
Tum hi Prabhu lagavo paar.

Aaya Prabhu tumhare dwar,
Ab mera kar do uddhar.
Raag dwesh se kiya kinara,
Kaam krodh Baba se haara.

Satya ahimsa ko apnaya,
Sachche sukh ka marg dikhaya.
Bade Baba ka atishay bhari,
Jisko jaane sab nar nari.

Bhoot pret tum se ghabraye,
Shankh dankanee paas na aave.
Bin pag chale sunahin bin kaana,
Sumare prani Prabhu ka nama.

Jis par kripa Prabhu ki hoi,
Taako durlabh kaam na koi.
Atishay hua giri par bhari,
Jab shravak ke thokar maari.

Ek shravak thokar khaata tha,
Jab parvat se aata jaata tha.
Vyaapar karne ko nitya prati jaata,
Parvat tha thokar khaata.

Sanyam aur santosh ka dhaarak,
Shravak tha Jin dharm ka palak.
Thokar ka dhyan din mein rahta,
Phir bhi patthar se bhidh jaata.

Kyun na thokar ka ant karun,
Pathikon ka dukh door karun.
Le kudaal parvat par aaya,
Par patthar ko khod na paaya.

Khodte khodte vah gaya haar,
Par patthar ka na paaya paar.
Agale din aane ka pran kar
Laut gaya vah apne ghar par.

Swapna mein suni devi ki vaani,
Mat ban re shravak ajnaani.
Jisko tu thokar samjha hai,
Thokar nahin Prabhu ka uttar hai.

Moort khod nikalu main jaakar,
Tum aa jaana gaadi lekar.
Virajmaan gaadi par kar doonga,
Aur gram tak pahuncha doonga.

Dhyaan hriday mein itna rakhna,
Atishay ko peeche mat lakhna.
Dev jaatikhan shravak jaaga,
Gaadi le parvat ko bhaga.

Chahu dish chaai chhata suhaani,
Fail rahi chanda ki chandani.
Devo ne pratima kadi aur
Aur Prabhu ki mahima bhaakhi.

Prabhu moort gaadi par raakhi,
Shravak ne tab gaadi haanki.
Pavan gati se gaadi chali,
Prabhu moort tanik na haali.

Shravak acharaj mein doob gaya,
Prabhu darshan ko palat gaya.
Tatkshan uska ant hua,
Bhavsaagar se beda paar hua.

Jain samaj pahuncha parvat par,
Mandir banvaya shubh din lakhkar.
Soorat hai man harne waali,
Padmasan hai moort kaali.

Man ichha ko poori karte,
Khali jholi ko Prabhu bharte.
Bade Baba baadha ko harate,
Bigade kaam ko poora karte.

Manokameshwar naam tihaara,
Lage hriday ko pyaara pyaara.
Prabhu mahima Delhi tak pahunchi,
Dillipati ne dil mein sochi.

Kyun na moort ko nasht karun,
Jhoothe atishay ko door karun.
Dillipati tha bada abhimaani,
Moort todne ki dil mein thaani.

Lashkar le parvat par aaya,
Jain samaj bahut ghabraya.
Chheni laga hathaudi ghala,
Madhu Barro ne hamla bola.

Nakh se baha dudh ki dhaara,
Jako mile na param para.
Atishay dekh sena ghabraayi,
Madhu Barro ne dhoom machaayi.

Raham raham karke chillaya,
Saari janata ne harsh manaaya.
Senapati ne sheesh jhukaaya,
Seedha Delhi ko tab aaya.

Ahankaar sab choor ho gaya,
Prabhu atishay mein swayam kho gaya.
Kshatrasal ne paav pakhaare,
Jay Baba karke jai kaare.

Kari yaachna apni jeet ki,
Mandir ke jeernodhaar karne ki.
Bhar utsaah mein hamla bola,
Bade Baba ka jaykara bola.

Shatru ko phir dhool chhataayi,
Aa mandir mein dhvaja phirayi.
Mandir ka jeernodhaar kiya,
Daan daakshina bharpoor diya.

Jo Prabhu charanon mein sheesh jhukaaye,
Dukh santap se mukti paaye.

|| Soratha ||

Chalisa chalis din padhe,
Kundal Giri mein aap.
Vansh chale aur yash mile,
Sukh sampatti dhan paaye.
Karen aarti deep se,
Prabhu charanon mein dhyan lagaye.
Bhakti bhav poojan karen,
Ichha man phal paaye.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Bade Baba Kundalpur Chalisa PDF

Download Shri Bade Baba Kundalpur Chalisa PDF

Shri Bade Baba Kundalpur Chalisa PDF

Leave a Comment