Download HinduNidhi App
Share This

|| Santoshi Mata Chalisa ||

॥ Doha ॥

Bando Santoshi Charan,
Riddhi Siddhi Datar ।
Dhyan Dharat Hi Hott Nar,
Dukh Sagar Se Paar ॥
Bhaktan Ko Santosh De,
Santoshi Tav Nama ।
Kripa Karahu Agdamba,
Aab Aaya Tere Dham ॥

॥ Chaupai ॥

Jai Santoshi Maat Anupam ।
Shanti Daayani Roop Manoram ॥

Sundar Varan Chaturbhuj Rupa ।
Vaish Manohar Lalit Anupa ॥

Shwetambar Roop Manhaari ।
Maa! Tumhari Chavi Jag Se Nayari ॥

Divy Swarup Aayat Lochan ।
Darshan Se Ho Sankat Mochan ॥

Jai Ganesh Ki Suta Bhavani ।
Ridhi Sidhi Ki Putri Gyani ॥

Aagam Aagochar Tumhari Maya ।
Sab Par Karo Kripa Ki Chaya ॥

Naam Aanek Tumharo Mata ।
Aakhil Vishv Hai Tumko Dhayata ॥

Tumne Roop Aaneko Dhare ।
Ko Kahi Sake Charitra Tumhare ॥

Dham Aanek Kahan Tak Kahiye ।
Sumiran Tab Karke Sukh Lehiye ॥

Vindiyachal Mai Vindiyavasini ।
Koteshwar Saraswati Suhasini ॥

Kalkate Mai Tu Hi Kali ।
Dusht Nashini Mahakarali ॥

Samhal Pur Bahuchara Kahati ।
Bhaktjano Ka Dukh Mitati ॥

Jwala Ji Mai Jwala Devi ।
Pujat Nitay Bhakt Jan Savi ॥

Nagar Bambai Ki Maharani ।
Maha Lakshmi Tum Kalyani ॥

Madura Mai Meenakshi Tum Ho ।
Sukh-dukh Sabki Sakshi Tum Ho ॥

Rajnagar Mai Tum Jagdambay ।
Banee Bhradkali Tum Ambe ॥

Pavagadh Mai Durga Mata ।
Akhil Vishav Tera Yash Gatta ॥

Kashi Puradhishwari Mata ।
Aaanpurna Naam Suhata ॥

Sarwanand Karo Kaliyani ।
Tumhi Sharda Amrit Vani ॥

Tumhari Mahima Jal Mai Thal Mai ।
Dukh Darid Sab Meto Pal Mai ॥

Jete Risiwar Aur Munisha ।
Narad Dev Aur Devesha ॥

Es Jagati Ke Nar Aur Nari ।
Dhayan Dharat Hai Maat Tumhari ॥

Japar Kripa Tumhari Hoti ।
Veh Patta Bhakti Ka Moti ॥

Dukh Darid Sankat Mit Jata ।
Dhayan Tumhara Jo Jan Dhayata ॥

Jo Jan Tumhari Mahima Gave ।
Dhayan Tumhara Kar Such Pave ॥

Jo Maan Rakhe Sudh Bhavana ।
Taki Puran Karo Kamna ॥

Kumti Nivari Sumati Ki Datri ।
Jayati Jayati Mata Jagdhatri ॥

Sukarwar Ka Diwas Suhavan ।
Jo Vart Kare Tumhara Paven ॥

Guud Chole Ka Bhog Lagave ।
Katha Tumhari Sune Sunnave ॥

Vidhivat Puja Kare Tumhari ।
Phir Prasad Pave Subhkari ॥

Shakti Samrath Ho Jo Dhan Ko ।
Dan Dakshina De Vipran Ko ॥

Ve Jagti Ke Nar Aur Nari ।
Maanvanchit Phal Pave Bhari ॥

Jo Jan Sharan Tumhari Jave ।
so Nishchaye Bhav Se Tar Jave ॥

Tumharo Dyan Kumari Dhayave ।
Nishchaye Maanvanchit Var Pave ॥

Sadhva Pooja Kare Tuhari ।
Amar Suhagin Ho Wo Nari ॥

Vidhva Dhar Ke Dhyan Tumhara ।
Bhavsagar Se Utre Para ॥

Jayati Jayati Jai Sankat Harni ।
Vidhan Vinashan Mangal Karni ॥

Hum Par Sankat Hai Aati Bhari ।
Vegi Khabar Lo Maat Hamari ॥

Nishidin Dhayan Tumharo Dhayta ।
Dehi Bhakti Var Hum Ko Mata ॥

Yeh Chalisa Jo Nit Gave ।
so Bhavsagar Se Tar Jave ॥

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Santoshi Mata Chalisa PDF

Download Santoshi Mata Chalisa PDF

Santoshi Mata Chalisa PDF

Leave a Comment