Download HinduNidhi App
Share This

॥ Doha ॥

Sheesh Nava Arihant Ko,
Siddhan Ko, Karoon Pranam ।
Upadhyay Aachary Ka,
Le Sukhkari Naam ॥
Sarv Sadhu Aur Saraswati,
Jin Mandir Sukhkaar ।
Aadinath Bhagwan Ko,
Man Mandir Mein Dhaar ॥

॥ Chaupai ॥

Jai Jai Aadinath Jin Swami ।
Teenkaal Tihoon Jag Mein Naami ॥

Vesh Digambar Dhaar Rahe Ho ।
Karmo Ko Tum Maar Rahe Ho ॥

Ho Sarvagya Baat Sab Jaano ।
Saari Duniyan Ko Pehchano ॥

Nagar Ayodhya Jo Kahalaye
Raja Nabhiraj Batlaye ॥

Marudevi Mata Ke Udar Se ।
Chait Vadi Navami Ko Janme ॥

Tumne Jag Ko Gyan Sikhaya ।
Karmbhoomi Ka Beej Upaya ॥

Kalpavriksh Jab Lage Bichharne ।
Janta Aai Dukhda Kahane ॥

Sab Ka Sanshay Tabhi Bhagaya ।
Soorya Chandra Ka Gyan Karaya ॥

Kheti Karna Bhi Sikhlaya ।
Nyaya Dand Aadik Samjhaya ॥

Tumne Raaj Kiya Neeti Ka ।
Sabak Aapse Jag Ne Seekha ॥

Putra Aapka Bharat Bataya ।
Chakravarti Jag Mein Kahalaya ॥

Bahubali Jo Putra Tumhare ।
Bharat Se Pahale Moksh Sidhare ॥

Suta Aapki Do Batlai ।
Brahmi Aur Sundari Kahalai ॥

Unko Bhi Vidhya Sikhlai ।
Akshar Aur Ginti Batlai ॥

Ek Din Raajsabha Ke Andar ।
Ek Apsara Naach Rahi Thi ॥

Aayu Uski Bahut Alp Thi ।
Isliye Aage Nahin Nach Rahi Thi ॥

Vilay Ho Gaya Uska Satwar ।
Jhat Aaya Vairagya Umadkar ॥

Beto Ko Jhat Paas Bulaya ।
Raaj Paat Sab Mein Bantvaya ॥

Chhod Sabhi Jhanjhat Sansari ।
Van Jane Ki Kari Taiyari ॥

Raav Hajaron Saath Sidhae ।
Raaj Paat Taj Van Ko Dhaye ॥

Lekin Jab Tumne Tap Kina ।
Sabne Apna Rasta Lina ॥

Vesh Digambar Tajakar Sabne ।
Chhaal Aadi Ke Kapde Pahane ॥

Bhookh Pyas Se Jab Ghabraaye ।
Phal Aadik Kha Bhookh Mitaye ॥

Teen Sau Tresath Dharm Phailaaye ।
Jo Ab Duniyan Mein Dikhlaaye ॥

Chhai: Mahine Tak Dhyan Lagaye ।
Phir Bhajan Karne Ko Dhaaye ॥

Bhojan Vidhi Jaane Nahi Koy ।
Kaise Prabhu Ka Bhojan Hoy ॥

Isi Tarah Bas Chalte Chalte ।
Chhah Mahine Bhojan Bin Beete ॥

Nagar Hastinapur Mein Aaye ।
Raja Som Shreyans Bataye ॥

Yaad Tabhi Pichhala Bhav Aaya ।
Tumko Phauran Hi Paddhaaya ॥

Ras Ganne Ka Tumne Paaya ।
Duniya Ko Updesh Sunaya ॥

Paath Kare Chalisa Din ।
Nit Chalisa Hi Baar ॥

Chandkhedi Mein Aay Ke ।
Kheve Dhoop Apaar ॥

Janm Daridri Hoy Jo ।
Hoy Kuber Saman ॥

Naam Vansh Jag Mein Chale ।
Jinke Nahin Santan ॥

Tap Kar Keval Gyan Paaya ।
Moksh Gaye Sab Jag Harshaya ॥

Atishay Yukt Tumhara Mandir ।
Chandakhedi Bhanvare Ke Andar ॥

Uska Yah Atishay Batlaya ।
Kasht Klesh Ka Hoy Saphaya ॥

Maantung Par Daya Dikhai ।
Janjire Sab Kaat Girai ॥

Rajsabha Mein Maan Badhaya ।
Jain Dharm Jag Mein Phailaya ॥

Mujh Par Bhi Mahima Dikhalao ।
Kasht Bhakt Ka Door Bhagao ॥

॥ Sortha ॥

Path Kare Chalisa Din, Nit Chalisa Hi Baar ।
Chandkhedi Mein Aay Ke, Kheve Dhoop Apar ॥
Janm Daridri Hoy Jo, Hoy Kuber Saman ।
Nam Vansh Jag Me Chale, Jinke Nhi Santan॥

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Aadinath Chalisa PDF

Download Shri Aadinath Chalisa PDF

Shri Aadinath Chalisa PDF

Leave a Comment