Download HinduNidhi App
Share This

|| Chalisa ||

Shri Arhannath Jinendra Gunakar,
Gyan-daras-surav-bal ratnakar.
Kalpavriksha sam sukh ke saagar,
Paar huye nij aatm dhyaakar.

Arhannath Nath Vasu ari ke naashak,
Huye Hastinapur ke shaasak.
Maa Mitrasena Pita Surdarsan,
Chakravarti ban kiya digdarshan.

Sahas chaurasi aayu prabhu ki,
Avagahan thi tees dhanush ki.
Varn suvarn samaan tha peet,
Rog shok the tumse bheet.

Byah hua jab priy kumar ka,
Swapn hua saakar pita ka.
Rajyabhishek hua Arhajin ka,
Hua abhyuday chakr ratn ka.

Ek din dekha Sharad ritu mein,
Megh vilin huye kshan bhar mein.
Udit hua vairagya hriday mein,
Lokantik sur aaye pal mein.

‘Arvind’ putra ko dekar raj,
Gayi sahetuk van Jinraj.
Mangsir ki Dashami ujiyaari,
Param Digambar dikshadhari.

Panchamusti ukhaade kesh,
Tan se manav raha nahi dalesh.
Nagar Chakrapur gaye paran hit,
Padhgaahen bhoopati aparajit.

Prasuk shuddhahar karaye,
Panchacharya dev karaye.
Kathin tapasya karte van mein,
Leen rahein aatm chintan mein.

Kartik maas dwadashi ujjwal,
Prabhu virajye amra vrksha-tal.
Antar gyan jyoti pragataai,
Huye kevali Shri Jinrai.

Dev kare utsav ati bhavya,
Samosharan ko rachna divya.
Solah varsh ka maunbhang kar,
Saptabhanga Jinavani sukhkar.

Chaudah gunasthan bataye,
Moh-kay-yog darshaye.
Sattavan aashrav batlaye,
Itne hi sanvar Ginavaye.

Sanvar hetu samata lao,
Anupreksha dwadash man bhao.
Huye prabuddh sabhi nar-nari,
Diksha vrat dhari bahu bhari.

Kumbarp aadi Gandhar tees,
Ardh lakh the sakal muniish.
Satyadharma ka hua prachar,
Door-door tak hua vihar.

Ek maah pehle nirved,
Sahas munisang gaye sammeyd.
Chaitra Krishna Ekadashi ke din,
Moksha gaye Shri Arhannath Jin.

Natak koot ko pooje dev,
Kamadev-Chakri…Jindev.
Jinvar ka lakshan tha meen,
Dharo Jain dharm samichin.

Prani matra ka Jain dharm hai,
Jain dharm hi param dharm hai.
Panchendriyon ko jeeten jo nar,
Jinendriya ve vante Jinvar.

Tyag dharm ki mahima gaai,
Tyag mein hi sab sukh ho bhai.
Tyag kar saken keval manav,
Hain saksham sab dev aur manav.

Ho swadhin tajo tum bhai,
Bandhan mein peeda man laai.
Hastinapur mein doosri nashia,
Karma jaha par nase ghatiya.

Jinke charan mein dharen,
Sheesh sabhi narnath.
Hum sab pooje unhein,
Kripa karein Arhannath.

Om Hreem Arham,
Shri Arhannathaya Namah ||

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Arahnath Chalisa PDF

Shri Arahnath Chalisa PDF

Leave a Comment