Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Sheesh nava Arihant ko,
Siddhan karun pranam.
Upadhyay Acharya ka,
Le sukhkari naam.

|| Chaupai ||

Jai-jai Swami Shri Jin Chanda,
Tumko nirakh bhaye ananda.
Tum hi Prabhu Devan ke deva,
Karun tumhare pad ki seva.

Vesh Digambar kahalata hai,
Sab jag ke man bhaata hai.
Nasa par hai drishti tumhari,
Mohani murti kitni pyari.

Tin lok ki baatein jaano,
Tin kaal kshan mein pahchano.
Naam tumhara kitna pyara,
Bhoot-preta sab karen nivaara.

Tum jag mein sarvagya kaho,
Ashtam Tirthankar kahlao.
Mahasen jo pita tumhare,
Lakshmana ke dil ke pyare.

Taj Vaijant viman sidhaaye,
Lakshmana ke ur mein aaye.
Posh Vadi Ekadashi naami,
Janm liya Chanda Prabhu Swami.

Muni Samantbhadra the Swami,
Unhe bhasma, vyadhi bimaari.
Vaishnav dharm jabhi apnaya,
Apne ko Pandit kahaya.

Kaha Raav se baat bataoon,
Mahadev ko bhog khilaaoon.
Pratidin uttam bhojan aave,
Unko muni chhipaakar khavae.

Isi tarah nij roga bhagaya,
Ban gayi kanchan jaisi kaaya.
Ek ladke ne pata chalaya,
Phauran raja ko batlaya.

Tab raja farmaya muni ji ko,
Namaskaar karo Shivpindi ko.
Raja se tab muni ji bole,
Namaskaar Pindi nahin jhele.

Raja ne jhanjeer mangaai,
Us Shivpindi mein bandhvaai.
Muni ne swayambhu path banaya,
Pindi phati achambha chhaaya.

Chandra Prabha ki murti dikhayi,
Sab ne jai-jaikaar manayi.
Nagar Firozabad kahaaye,
Paas nagar Chandawar bataye.

Chandrasen raja kahlaya,
Us par dushman chadkar aaya.
Raav tumhari stuti gayi,
Sab faujo ko maar bhagaayi.

Dushman ko malum ho jaave,
Nagar gherne phir aa jaave.
Pratima Jamna mein padharai,
Nagar chhodkar parja dhaai.

Bahut samay hi beeta hai ki,
Ek yati ko sapna dikhaya.
Bade jatan se pratima paayi,
Mandir mein laakar padharai.

Vaishnavon ne chaal chalaai,
Pratima Lakshmana ki batlayi.
Ab to Jaani jan ghabraave,
Chandra Prabhu ki murti bataave.

Chinh Chandrama ka batlaya,
Tab Swami tumko tha paaya.
Sonaagiri mein sau mandir hain,
Ik badhkar ik sundar hain.

Samavasharan tha yahan par aaya,
Chandra Prabhu upadesh sunaaya.
Chandra Prabhu ka mandir bhaari,
Jisko pooje sab nar-nari.

Saath haath ki murti batayi,
Laal rang pratima batlayi.
Mandir aur bahut bataye,
Shobha varnat paar na paaye.

Paar karo meri yeh naiyya,
Tum bin koi nahin khivaaya.
Prabhu main tumse kuch nahin chaahun,
Bhav-bhav mein darshan paahun.

Main hoon Swami daas tihaara,
Karo naath ab to nistaara.
Swami aap daya dikhaao,
Chandra Das ko Chandra banaao.

|| Sorath ||

Nit chaalisahin baar,
Path kare chaalis din.
Kheya sugandh apaar,
Sonaagiri mein aay ke.

Hoye Kubera saamaan,
Janam daridri hoye jo.
Jiske nahin santaan,
Naam vansh jag mein chale.

Om Hreem Arham,
Shri Chandraprabhajinendraya Namah ||

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Chandraprabhu Chalisa PDF

Download Shri Chandraprabhu Chalisa PDF

Shri Chandraprabhu Chalisa PDF

Leave a Comment