॥ Doha ॥
Chitt mein baso Chintapurni,
Chinnamastika Maat
Saath bahnon mein laadli,
Ho jag mein vikhyaat॥
MaiDaaS par ki kripa,
Roop dikhaya Shyam
Sabki ho varadaayani,
Shakti tumhein pranaam॥
॥ Chaupai ॥
Chinnamastika Maat Bhavani,
Kalikal mein shubh kalyani।
Sati aapko ansh diyo hai,
Chintapurni naam kiyo hai।
Charanon ki leela hai nyari,
Jinko pooje har nar-nari।
Devi-devta hain nat mastak,
Chain na paaye bhaje na jab tak।
Shaant roop sadaa muskaata,
Jise dekhkar aanand aata।
Ek or Kaaleshwar saaje,
Dooji or Shivbaadi viraje।
Teesri or Narayan Dev,
Chouthi or Machkund Mahadev।
Lakshmi Narayan sang viraje,
Das avataar unhi mein saaje।
Teenon dwaar bhavan ke andar,
Baithe Brahma, Vishnu, aur Shivshankar।
Kaali Lakshmi Saraswati Maa,
Sat Raj Tam se vyapt hui Maa।
Hanuman yoddha Balkari,
Maar rahe Bhairav kilakari।
Chausath Yogini mangal gaavein,
Mridang chhaine mahant bajaavein।
Bhavan ke neeche baavdi sundar,
Jisme jal bahta hai jharjhar।
Sant aarti karein tumhari,
Tumne sada poojat hain nar-nari।
Paas hai jiske baag niraala,
Jahaan hai pushpon ki vanmala।
Kanth aapke maala viraje,
Suha-suha chola ang saaje।
Singh yahan sandhya ko aata,
Shubh charanon mein sheesh navaata।
Nikat aapke jo bhi aave,
Pindi roop darshan paave।
Ranjit Singh Maharaj banaya,
Tumhein swarn ka chatra chadhaya।
Bhav tumhi se bhakti paaya,
Patiala mandir banwaya।
MaiDaaS par kripa karke,
Aayi Bharwai paas vichar ke।
Athoor kshetra Mughalon ne ghera,
Pita MaiDaaS ne tera।
Amb kshetra ke paas mein aaye,
Teen putra kripa se paaye।
Vansh Mai ne phir pujvaya,
MaiDaaS ko bhakt banaya।
Sau ghar uske hain apnaaye,
Seva mein jo tumhari aaye।
Char aarti hain mangalmay,
Pratah madhy sandhya raatmy।
Paan dhvaja naarial laaun,
Halwe chane ka bhog lagaun।
Asouj Chaitra mein mela lagta,
Ashtami Saawan mein bhi bharta।
Chatra v chunni sheesh chadhaun,
Mala lekar tumko dhyaun।
Mujhko maat vipad ne gheda,
Mohmaya ne daala phera।
Jwalamukhi se tej ho paati,
Nagarkot se bhi bal paati।
Nayana Devi tumhe dekha kar,
Muskaati hain prem mein bharkar।
Abhilaasha Maa pooran kar do,
Hey Chintapurni jholi bhar do।
Mamta waali palak dikha do,
Kaam krodh mad lobh hata do।
Sukh dukh to jeevan mein aate,
Teri daya se dukh mit jaate।
Tumko kehte Chintaharani,
Bhayanashak tum ho Bhayharani।
Har baadha ko aap hi taalo,
Is baalak ko gale laga lo।
Tumhara aashirvaad mile jab,
Sukh ki kaliyan aap khile sab।
Kaha tak Durga mahima gaun,
Dwaar khada hi vinay sunaun।
Chintapurni Maa mujhe apnao,
Bhav se naiyya paar lagaao |
॥ Doha ॥
Charan aapke choo raha hoon,
Chintapurni Maat
Charanamrit de dijiye,
Ho jag mein vikhyaat॥
Found a Mistake or Error? Report it Now