|| Doha ||
Kalki Kalki Naam Binu,
Milta Nahin Kalyan.
Poojo Japo Bhajo Nit,
Shri Kalki Ka Naam.
Yugacharya Kahate Suno,
Is Dharti Ke Log.
Kalki Bhagavat Kripa Binu,
Nahin Chhootat Bhavrog.
|| Chaupai ||
Kalki Naam Hai Jag Ujiyara.
Bhaktajano Ko Atishay Pyara.
Jo Kalki Ka Naam Pukare,
Usko Milte Sabhi Sahare.
Sankat Hare Mite Sab Peera,
Jo Vishwas Kare Ghar Dheera.
Jay Kalki Jay Jagatpate,
Padma Pati Jay Ramapate.
Naam Jaap Kali Kaal Vinasha,
Bhaktajano Ki Phalti Aasha.
Naam Jaap Sab Dukh Haranta,
Gavahin Ved Shastra Ati Santa.
Kalki Sab Devan Ke Deva,
Sabhi Devata Karte Seva.
Kalki Kalki Jo Bhajate Hain,
Kalki Sarv Sankat Harte Hain.
Naam Sanjeevan Mool Hai Kalki,
Ichha Purna Karta Hai Sabki.
Yatha Samay Avtar Pathaye,
Kalyug Mein Kalki Ji Aaye.
Kali Ka Nash Karenge Kalki,
Purti Karenge Apnepan Ki.
Tan-Man-Dhan Nyochhavar Kijiye,
Sada Boliye Kalki Ki Jay.
Asur Nikandan Bhav-Bhay-Bhanjan,
Kalimal Nashan Nij-Jan-Ranjan.
Sant Muni Jan Karte Vandana,
Brahmadik Karte Abhinandan.
Ashva Chadhe Hain Khadag Dhare Hain,
Prakriti Brahm Se Poorna Pare Hain.
Hoga Ab Kali Kaal Samapan,
Satyug Ka Hoga Avahan.
Ghira Jagat Mein Saghan Andhera,
Mlechha Janon Ne Dala Ghera.
Hai Adharm Ka Chahun Disi Phara,
Kaliyug Ka Chahuntarpha Dera.
Ganga Yamuna Hui Apavan,
Gau Brahman Lage Dukh Pavan.
Dukhiya Bharat Tumhein Pukare,
Prakato Kalki Nath Hamare.
Ab To Lehu Prabhu Avatara,
Dukhi Ho Raha Dharma Bechara.
Dekh Rahe Ho Dasha Aaj Ki,
Pragato Yug Parivartan Kalki.
Hota Ved Dharma Apamana,
Sab Karte Apna Man Mana.
Kalki Ji Ka Khadag Chalega,
Koi Adharmi Nahin Bachega.
Dhar Nrisimha Roop Jab Aaye,
Bhakt Prahlad Ke Pran Bachaye.
Vaman Ka Lekar Avatara,
Bali Ka Nash Kiya Chhal Sara.
Hari Avatara Leen Prabhu Tab Hi,
Mukt Gajendra Bhayo Prabhu Tab Hi.
Jab Ravan Anyay Pasara,
Ram Roop Tab Tha Prabhu Dhara.
Rakshas Maar Asur Sanhara,
Sami Santjan May Sukharae.
Kans Kauravon Ka Atanka,
Dharmaglani Ki Bhari Shanka.
Sab Mil Keenha Dhara Apavan,
Keshav Roop Ghara Man Bhavana.
Nishkala Hoogi Jab Dharti,
Dharm Lata Dikhegi Phalti.
Kalki Ji Mein Dhyan Jo Laave,
Bandhan Mukta Mahasukh Paave.
Kalki Kirtan Bhajan Jo Gaave,
Chhute Moh Parampad Paave.
Ishtadev Kalki Avatara,
Brahmadik Ko Paave Para.
Kalki Naam Vidit Sansara,
Kar Do Kalki Jag Ujiyara.
Khal Dal Mari Karahu Sudhara,
Bhoomi Bhar Utaaran Hara.
Kalki Roop Anadi Ananta,
Jake Gun Gaavahi Shruti Santa.
Jo Yeh Gaave Kalki Chalisa,
Hoye Siddhi Purna Sab Ichha.
Jay Kalki Jay Jagat Bihar,
Mangal Bhavan Amangal Haar.
|| Doha ||
Vighna Haran Mangal Karan,
Shri Kalki Ji Bhagwan.
Nij Seva Bhakti Diyo,
Charanon Mein Rahne Ka Varadan.
Found a Mistake or Error? Report it Now