Download HinduNidhi App
Share This

|| Chalisa ||

Mohmall mad mardan karte,
Manmath durdhar ka mad harate.
Dhairya khadag se karma nivare,
Balityati ko naman hamare.

Bihar prant ki Mithila nagari,
Rajya kare Kumbh Kashyap gotri.
Prabhavati Maharani unki,
Varsha hoti thi ratno ki.

Aparajit viman ko taj kar,
Janani udar base Prabhu aakar.
Mangasir shukl ekadashi shubh din,
Janme tin gyan yukt Shri Jin.

Purnima chandra saman ho shobhit,
Indra nivahan karte ho mohit.
Tandav nritya kare khush ho kar,
Nirakhe Prabhu ko vismit ho kar.

Badhe pyaar se Malli Kumar,
Tan ki shobha hui apar.
Pachpan sahas ayu Prabhuvr ki,
Pacchis dhanu avagahan vapu ki.

Dekh putr ki yogya avastha,
Pita byah ki karen vyavastha.
Mithila Puri ko khoob sajaya,
Kanya paksh sunakar harshaya.

Nij man mein karte Prabhu manthan,
Hai vivah ek mitha bandhan.
Vishay bhog roopi ye kardam,
Atma gyan ke karde durgam.

Nahi asakt hue vishayan mein,
Hue virakt gaye Prabhu van mein.
Mangasir shukl ekadashi pavam,
Swami diksha karte dharan.

Do din tak dhara upvas,
Van mein hi phir kiya nivas.
Teesre din Prabhu kare nivas,
Nandishen nrup de aahar.

Patradan se harshit ho kar,
Achraj paanch kare sur aakar.
Mallinath jo laute van mein,
Leen hue aatam chintan mein.

Atmashuddhi ka prabal praman,
Alp samay mein upja gyan.
Kevalgyani hue chhah din mein,
Ghante bajne lage swarg mein.

Samosharan ki rachna saje,
Antariksh mein Prabhu viraje.
Vishaksh aadi atthais ganadhar,
Chalisa sahas the gyanee munivar.

Pathiko ko satpath dikhaya,
Shivpur ka sanmarg dikhaya.
Aushadhi shastra abhay ahar,
Daan bataye char prakar.

Paanch samiti labdhi paanch,
Pancho paitale hain saanch.
Shat leshya jeev shatkay,
Shat dravya kehte samjhaaye.

Sat tattva ka varnan karte,
Sat narak sun bhaviman darate.
Sato ne ko man mein dhare,
Uttam jan sandeh nivare.

Deergh kaal tak diya upadesh,
Vaani mein katuta nahin lesh.
Ayur rahne par ek maas,
Shikhar sammed pe karte vaas.

Yog nirodh ka karte palan,
Pratima yog kare Prabhu dharan.
Karma nashta kiye jinrai,
Tatkshan mukti Rama parnai.

Falgun shukl panchami nyaari,
Siddh huye Jinvar avikaari.
Moksha kalyankak sur nar karte,
Samval kut ki pooja karte.

Chinh kalash tha Mallinath ka,
Jin mahapavan tha unka.
Nar pungav the ve Jinshreshth,
Stri kahe jo satya na lesh.

Koti upaay karo tum soch,
Stri bhav se ho nahi moksh.
Mahabali the ve shoorveer,
Aatma shatru jeete dhar dheer.

Anukampa se Prabhu Malli ki,
Alpayu ho bhav valli ki.
Arj tyahi hain bas Aruna ki,
Drishti rahe sab par karuna ki.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Mallinath Chalisa PDF

Shri Mallinath Chalisa PDF

Leave a Comment