Download HinduNidhi App
Share This

|| Chalisa ||

Satat pujyaniya Bhagwan,
Naminath Jin mahimawan.
Bhakt karen jo man mein dhyaay,
Pa jaate mukti varadaan.

Jay Shri Naminath Jin Swami,
Vasu gun mandit Prabhu pranamaami.
Mithila nagari prant Bihar,
Shri Vijay rajya kare hitakar.

Vipra Devi Maharani thin,
Roop gunon ki ve khani thin.
Krishnashwin dwitiya sukhadaata,
Shodash swapna dekhti mata.

Aparajit vimaan ko tajkar,
Janani udar vase Prabhu aakar.
Krishna Ashadh dashami sukhakar,
Bhutal par hua Prabhu avataar.

Aayu sahas das varsh Prabhu ki,
Dhanu pandrah avagahana unki.
Tarun huye jab rajkumar,
Hua vivah tab aanandakar.

Ek din bhraman karen upvan mein,
Varsha ritu mein harshit man mein.
Namaskaar karke do dev,
Kaaran kehne lage swayamev.

Gyaat hua hai kshetra Videh mein,
Bhavi Tirthankar tum jag mein.
Devon se sunkar ye baat,
Rajmahal lauthe Naminath.

Soch hua bhav-bhav ne bhraman ka,
Chintan karte rahe mochan ka.
Param Digambar vrat karun arjan,
Ratnatrayadhan karun uparjan.

Suprabh sut ko raaj saumpakar,
Gaye Chitravan ne Shri Jinvar.
Dashami Ashadha maas ki kaari,
Sahas nrpati sang dikshadhari.

Do din ka upvaas dhaar kar,
Aatam leen hue Shri Prabhuvr.
Teesre din jab kiya vihar,
Bhup Veerapur de aahaar.

Nau varshon tak tap kiya van mein,
Ek din Mauli Shri taru tal mein.
Anubhuti hui divyabhaas,
Shukla ekadashi Mangsir maas.

Naminath huye gyan ke saagar,
Gyanotsav karte sur aakar.
Samosharan tha sabhi vibhooshit,
Maanastambh the chaar sushobhit.

Hua maunbhang divya dhvani se,
Sab dukh door hue avani se.
Aatma padarth ki satta siddh,
Karta tan ne aham prasiddh.

Bahyendriyon mein karan ke dwara,
Anubhav se karta sveekara.
Par-parinati se hi yeh jeev,
Chaturgati mein bhrame sadeev.

Rahe narak saagar parayant,
Sahe bhukh pyaas tiryanch.
Hua manuj to bhi sanklesh,
Devon mein bhi eeshya-dvesh.

Nahin sukhon ka kahin sthaana,
Sachcha sukh to moksha mein maana.
Moksha gati ka dwaar hai ek,
Narbhav se hi paaye nek.

Sun kar magn huye sab suragan,
Vrat dhaaran karte shravak jan.
Hua vihar jahan bhi Prabhu ka,
Hua wahi kalyaan sabhi ka.

Karte rahe vihar Jinesh,
Ek maas rahi aayu shesh.
Shikhar sammed ke upar jaakar,
Pratima yog dhara harsha kar.

Shukla dhyan ki agni prajaari,
Hane aghaati karma dukhakaari.
Ajar-amar-shaashwat pad paaya,
Sur-nar sabka man harshaaya.

Shubh nirvaan mahotsav karte,
Koot mitradhara poojan karte.
Prabhu hain neelkamal se alankrit,
Hum honge uttam phal se upkrit.
Naminath Swami jagvandan,
Aruna karti Prabhu-abhivandan.

 

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Naminat Chalisa PDF

Download Shri Naminat Chalisa PDF

Shri Naminat Chalisa PDF

Leave a Comment