|| Doha ||
Neminath Maharaj ka,
Chalisa sukhakar.
Moksha prapti ke liye,
kahoon suno chitadhar.
Chalisa chalis din,
Tak kaho chalis baar.
Badhe jagat sampatti sumat,
Anupam shuddh vichar.
|| Chaupai ||
Jai-jai Neminath hitkari,
Neel varn puran brahmachari.
Tum ho baiswain teerthankar,
Shankh chihn satdharm divakar.
Swarg saman Dwarika nagari,
Shobhit harshit uttam sagari.
Nahi kahi chinta akulata,
Sukhi khushi nishadin sab janata.
Samay-samay par hoti vastu,
Sabhi magn man manus jantu.
Uchyottam jin bhavan ananta,
Chhayi jin mein veetragata.
Pooja-path kare sab aaven,
Aatam shuddh bhavana bhavein.
Kare gunijan shastra sabhaen,
Shravak dharm dhara harshayen.
Rahe paraspar prem bhalaai,
Saath hi chal sheelata aayi.
Samudravijay ki thi rajdhani,
Nari Shivadevi Patrani.
Chhati Kartik Shukla ki aayi,
Solah swapne diye dikhayi.
Kahein Raav sun sapne savere,
Aaye teerthankar ur tere.
Seva mein jo rahi deviyon,
Tahl kare Maa ki din ratiyan.
Sur dal aakar mahima gate,
Teen vakt ratna barsate.
Maat Shiva ke aangan bharte,
Sadh das karod nit girate.
Pandrah mah tak hui lootai,
Le jaa bhar-bhar log lugai.
Nau mah baad janm jab liya,
Baje gagan khoob anhad veena.
Sur charon kayo ke aaye,
Natak gaayan nritya dikhaye.
Indrani Maa dhing aayi,
Sir par padharaaye Jinarai.
Lekar Indra chale haathi par,
Padharaaya Paandu Shila par.
Bhar-bhar kalash suro ne dine,
Nhavan Neminath ke kiye.
Itna wahan surasur aaya,
Gandhodak ka nishan paya.
Ratnajadit sam vastrabhooshan,
Pehnaye Indrani Jin tan.
Nagar Dwarika Maat-Pita ko,
Aakar saupen Neminath ko.
Natak taandav nritya dikhaye,
Nau bhav prabhujee ke darshaye.
Bachpan gaya jawani aayi,
Jainacharya Daya man bhai.
Krishn bhrat se bahubaladayak,
Bane Nemi gun vidya gyanayak.
Shri Krishn the jo Narayan,
Teen khand ka karte shasan.
Girivar ko jo Krishn uthaate,
Iski wajah bahut garmate.
Nemi bhi jhat use pakadkar,
Bahut Krishn se thadhe upar.
Baithe Nemi Naag shaiyya par,
Harshit shaant huye sab vishadhar.
Wahan baithe jab Shankh bajaaya,
Dashon disha jag jan kampaaya.
Charcha chali sabha ke andar,
Yaadavvanshi kaun hai veer var.
Uthe Nemi yeh baatein sunkar,
Ungli mein jhanjheer daalkar.
Kheenche ise ye Nemi tera,
Seedha haath kare jo mera.
Hum sab mein vo veer kahavein,
Padvi raaj Bali ki paavein.
Jhuka na koi haath saka tha,
Krishn aur Balram thaka tha.
Tabse Krishn rahe chintatur,
Mujhse adhik Nemi takatvar.
Kabhi na rajya le le yeh mera,
Iska karun prabandh aavera.
Karva Nemi shaadi ko raazi,
Koi rachun durghatna taazi.
Dayawan yeh Nemi kehate,
Sab jivon par karuna laate.
Kaisa ab shadayantra rachaaun,
Neminath ko tyag dilaun.
Ugrasen nrip Junagarh ke,
Raju ek suta thi jinka.
Chandramukhi, Gunvati, Sushila,
Sundar komal badan gathila.
Usse kari Nemi ki mangni,
Param yogya yeh sajan-sajni.
Junagarh nrip khushi manaai,
Bhej Dwarika gayi sagaai.
Heere-moti laal javahar,
Nanavidh pakwan manohar.
Ratnajadit sab vastrabhooshan,
Bheje sakal padaarth mohan.
Shubh mahurat mein hui sagaai,
Bhaye phulit Yadavrai.
Ki jo nari nagar ki dhari,
Kiye sukhi sab dukhi bhikhari.
Diye kisi ko rath gaj ghode,
Diye kisi ko kangan thode.
Diye kisi ko sundar jode,
Din jab rahe vivah ke thode.
Keeni chalne ki taiyari,
Aaye sambandhi nyotari.
Chhappan karod kutumbi saare,
Aur baarati laakhon nyare.
Chale karmachari sevakgan,
Chhavi chadhat ki kya ho varnan.
Jab Junagarh ki had aayi,
Krishn nagar mein pahunchi jaayi.
Khepaade mein pashu bhi aaye,
Bhookh pyaas bhay se chillaye.
Nemi ki baaraat chadhi jab,
Dwaare par aakar atki tab.
Chillahat pashuon ki sunkar,
Chhaayi daya dayalu dil par.
Bole band kiye kyun inko,
Kabhi na paradukh bhaata mujhko.
Tum baaraatiyon ki daawat mein,
Dene ko baandhe bhojan mein.
Suna yeh baat Nemi kampaaye,
Vastrabhooshan door hataaye.
Shaadi ab mein nahin karunga,
Jag ko taj nij dhyaan dharon ga.
Jaa pashuon ke bandhan kholen,
Pita Samudravijay tab bole.
Chhodo pashu ab dheeraj dharo,
Chalo sasur ke dwar padhaaro.
Jagat pitaji sab matlab ka,
Man sukh mein kuch dhyaan na par ka.
Khud to nityanand uthaavein,
Par ki jaan bhaale hi jaavein.
Chahat hamein dukhi karne ka,
Jab nij bhaav sukhi rahne ka.
Jainvansh narbhav yeh paakar,
Janm-janm pachhataau khokar.
Do din ki yeh rajdulaari,
Taj kar varu achal Shivanari.
Sabhi tour samjhaakar haare,
Par Nemi Girnar sidhaare.
Chaahe kaho bhrat ko dhoka,
Chaho kaho yehi thi ichha.
Chaho kaho pashu kul ki raksha,
Chaho kaho yehi thi iccha.
Pichhi bagal kamandal lekar,
Jaate chaar haath mag lakhakar.
Mahalon khadi dekh yeh rajul,
Giri moorchhit hokar vyaakul.
Jab sakhiyon ne hosh dilaaya,
Maa ne yeh vachan sunaaya.
Rang-dhang kyun bigde hain tere,
Pher na unke koi phere.
Putri na chinta vyarth karo tum,
Khelo, khao, jio, haso tum.
Karo daan samaayik pooja,
Shaadi karun dekh var dooja.
Suno Maa yeh baat hamari,
Muniraj ek samay uchaari.
Nau bhav ke premi vo tere,
Ab jag naam tumhara there.
Sur nagari, Shiv nagari jaun,
Aap tiru sansaar tiraun.
Poojya guru ke atal vachan hai,
Tap vairagya bhavana man hai.
Maata-pita saheli sakhiyon,
Mujhe bhool sab dheeraj dhariyon.
Nari dharm nahi yeh chhodoon,
Vishay bhog jag se mukh modoon.
Bhooshan vasan nishank utaarkar,
Dhoti shuddh safed dhaarkar.
Pathik bani main bhi us path ki,
Preeti nibhaaoongi das bhav ki.
Aage peeche dono jaate,
Sur nar pushp ratna barsaate.
Junagarh vaasi harshaate,
Mahima tyag roop ki gaate.
Gayi Aryika ban kar giri par,
Nemi paas chadhi na upar.
Tere darshan kaaran preeti,
Nijanand anubhav ras peeti.
Dhyaan arudh gufa mein rahti,
Nirbhay nitya niyam tap karti.
Kabhi door Nemi ke darshan,
Kar gaati harshit gun gaayan.
Keene hitwan kevalgyaani,
Samavasharan mein phaili vaani.
Samavasharan jis nagari jaata,
Kos chaar sau tak sukh aata.
Chalis haath aap arihar the,
Seva mein gyarah Gandhar the.
Umra teen sau mein le diksha,
Varsh saat sau thi Jin shiksha.
Laakhon dukhiya paar lagaaye,
Aayu sahas varsh Shiv paaye.
Rajuul jeev raaj sur paaya,
Tabhi poojya Girnar sahaaya.
Dharm labh jo shravak paaye,
Sumat lagat man hum bhi jaaye.
|| Doha ||
Nitya chalisahin baar,
Path kare chalis din.
Khaye sugandh susaar,
Neminath ke saamne.
Hove chitt prasann, bhay,
Chinta shanka mite.
Paap hoye sab ant,
Bal-vidya-vaibhav badhe.
Found a Mistake or Error? Report it Now