|| Aarti ||
Jai Pretaraj Kripalu Meri,
Arj Ab Sun Leejiye |
Main Sharan Tumhari Aa Gaya Hoon,
Nath Darshan Dijiye |
Main Karun Vinati Aapse Ab,
Tum Dayamay Chit Dharo |
Charanon Ka Le Liya Aasra,
Prabhu Veg Se Mera Dukh Haro |
Sir Par Mor Mukut Karmen Dhanush,
Galbeech Motiyan Maal Hai |
Jo Kare Darshan Prem Se Sab,
Katat Tan Ke Jaal Hai |
Jab Pehan Bakhtar Le Khadag,
Baaye Bagal Mein Dhaal Hai |
Aisa Bhayankar Roop Jinka,
Dekh Darpat Kaal Hai |
Ati Prabal Sena Vikat Yoddha,
Sang Mein Vikaral Hai |
Tab Bhoot Pret Pishach Baandhe,
Kaid Karte Haal Hai |
Tab Roop Dharte Veer Ka,
Karte Taiyari Chalan Ki |
Sang Mein Ladake Jwan Jinki,
Thaah Nahin Hai Balan Ki |
Tum Sab Tarah Samarth Ho,
Prabhusukh Ke Dhaam Ho |
Dushton Ke Maaranhaar Ho,
Bhakton Ke Poorn Kaam Ho |
Main Hoon Mati Ka Mand Meri,
Buddhi Ko Nirmal Karo |
Agyaan Ka Andhera Ur Mein,
Gyaan Ka Deepak Dharo |
Sab Manorath Siddh Karte,
Jo Koi Seva Kare |
Tandul Boora Ghrit Meva,
Bhent Le Aage Dhare |
Suyash Sun Kar Aapka,
Dukhiya To Aaye Door Ke |
Sab Stri Aur Purush Aakar,
Pade Hain Charan Hazoor Ke |
Leela Hai Adbhut Aapki,
Mahima To Aprampaar Hai |
Main Dhyan Jis Dam Dharat Hoon,
Rach Dena Mangalachar Hai |
Sevak Ganeshpuri Mahant Ji,
Ki Laaj Tumhare Haath Hai |
Karna Khata Sab Maaf,
Unki Dena Hardam Saath Hai |
Darbar Mein Aao Abhi,
Sarkar Mein Haazir Khada |
Insaf Mera Ab Karo,
Charanon Mein Aakar Gir Pada |
Arzi Bemujib De Chuka,
Ab Gaur Is Par Kijiye |
Tatkala Is Par Hukm Likh Do,
Faisla Kar Dijiye |
Maharaj Ki Yeh Stuti,
Koi Naam Se Gaaya Kare |
Sab Siddh Kaaraj Hoy Unke,
Rog Peeda Sab Tare |
“Sukhram” Sevak Aapka,
Usko Nahin Bisaraiye |
Jai Jai Manaun Aapki,
Bed Ko Paar Lagaiye |
|| Iti Shri Pretraj Sarkar Aarti ||
Found a Mistake or Error? Report it Now