|| Chalisa ||
Shri Sumatinath ka karuna nirjhar,
Bhavy jano tak pahuche jhar-jhar.
Nayano mein Prabhu ki chhavi bhar kar,
Nit chalisa padhe sab ghar-ghar.
Jai Shri Sumatinath Bhagwan,
Sabko do sadbuddhi-daan.
Ayodhya nagari kalyani,
Meghrath raja Mangala rani.
Dono ke ati punya prajare,
Jo Teerthankar sut avataare.
Shukla Chaitra Ekadashi aayi,
Prabhu janm ki bela aayi.
Tin lok mein aanand chhaya,
Narakiyon ne dukh bhulaya.
Meru par Prabhu ko le ja kar,
Dev nhavan karte harshakar.
Tapt swarn sam sohe Prabhu tan,
Pragata ang-pratsang mein yovan.
Byahi sundar vadhuayein yog,
Nana sukhon ka karte bhog.
Rajya kiya Prabhu ne suvyavasthit,
Nahi raha koi shatru upasthit.
Hua ek din vairagya jab,
Neeras lagne lage bhog sab.
Jinvar karte atma chintan,
Laukantik karte anumodan.
Gaye sahetuk navak van mein,
Deeksha li madhyaham samay mein.
Baisakh Shukla Navami ka shubh din,
Prabhu ne kiya upvas teen din.
Hua saumanas nagar vihar,
Dhumnadhuti ne diya aahaar.
Bees varsh tak kiya tap ghora,
Alokhit huye loka loka.
Ekadashi Chaitra ki shukla,
Dhany hui keval-ravi nikala.
Samosharan mein Prabhu viraje,
Dravadash kothe sundar saajein.
Divyadhvani jab khiri dhara par,
Anahad naad hua nabha upar.
Kiya vyakhyan sapt tatvo ka,
Diya drishtant deh-nauka ka.
Jeev-ajeev-aashrav bandh,
Sanvar se nirjara nirbandh.
Bandh rahit hote hai siddh,
Hai yeh baat jagat prasiddh.
Nauka sam jaano nij deh,
Nawik jismein atma videh.
Nauka tirati jyo udadhi mein,
Chetan firata bhavodadhi mein.
Ho jaata yadi chhidra nauka mein,
Paani aa jaata pravah mein.
Aise hi aashrav pudgal mein,
Teen yog se ho pratipal mein.
Bharti hai nauka jyo jal se,
Bandhti atma punya paap se.
Chhidra band karna hai sanvar,
Chhod shubhashubh-shuddhbhav dhar.
Jaise jal ko bahar nikale,
Sanyam se nirjara ko paale.
Nauka sukhe jyo garmi se,
Jeev mukt ho dhyanagni se.
Aisa jaan kar karo prayas,
Shaashwat sukh pao saayas.
Jahaan jeevon ka punya prabal tha,
Hota wahi vihar swayam tha.
Umra rahi jab ek hi maas,
Giri sammed par kiya nivaas.
Shukla dhyan se kiya karmakshay,
Sandhya samay paaya pad akshay.
Chaitra suddhi Ekadashi sundar,
Pahunch gaye Prabhu mukti mandir.
Chinh Prabhu ka chakwa jaan,
Avichal koot pooje shubhthan.
Is asaar sansaar mein,
Saar nahi hai shesh.
Aruna Chalisa padhe,
Rahe vishaad na lesh.
Found a Mistake or Error? Report it Now