Download HinduNidhi App
Share This

|| Chalisa ||

Lok Shikhar ke vaasi hain Prabhu,
Teerthankar Suparshva Jinnath.
Nayan dwar ko khol khade hain,
Aao! Virajo! He Jagannath ||

Sundar nagari Varanasi sthit,
Rajya karein raja supratishthit.
Prithvisena unki raani,
Dekhe swapna solah abhirami ||

Teerthankar sut garbh mein aaye,
Surgan aakar mod manaye.
Shukla Jyeshtha Dwadashi shubh din,
Janme Ahimindra Yog mein Shree Jin ||

Janmotsav ki khushi asimit,
Puri Varanasi hui sushobhit.
Badhe Suparshva Jin chandra samaan,
Mukh par base mand muskan ||

Samay pravah raha gatishil,
Kanyaen parnayi sushil.
Lok priya shaasan kahalata,
Par dushton ka dil dahlata ||

Nit prati sundar bhog bhogte,
Phir bhi karm bandh nahin hote.
Tanmay nahin hote bhogo mein,
Drishti rahe antar yogon mein ||

Ek din hua prabal vairagya,
Raj path chhoda moh tyag.
Drudh nishchay kiya tap karne ka,
Karen dev anumodan Prabhu ka ||

Raj path nij sut ko dekar,
Gaye sahetuk van mein Jinvar.
Dhyaan mein leen huye tapadhari,
Tap Kalyanak kare sur bhari ||

Hue ekagr Shree Bhagwan,
Tabhi hua manah paryaya gyan.
Shuddhahar liya Jinvar ne,
Somkhet Bhupati ke ghar mein ||

Van mein jaakar huye dhyanasth,
Nau varsho tak rahe chhadmstha.
Do din ka upvas dhar kar,
Taru shirish tal baithe jaakar ||

Sthir huye par rahe sakriya,
Karmashatru chatur kiye nishkriya.
Kshapak shrethi huye aarudh,
Gyan kevali paya goodh ||

Surpati ne gyanotsav kina,
Dhanpati ne samosharan rachina.
Viraje adhare Suparshvaswami,
Divyadhvani khirti abhirami ||

Yadi chaho akshay sukh paana,
Karmashrav taj samvar karna.
Avipak nirjhara ko karke,
Shivsukh pao uddham kark ||

Chatur darshan gyan asht bataye,
Terah vidhi charitras sunaye.
Brahmabhyantar tap ki mahima,
Tap se milti gun gaurima ||

Sab desho mein hua vihar,
Bhavyo ko kiya bhav se paar.
Ek mahina umr rahi jab,
Shail samedh pe kiya ugra tap ||

Falgun Shukla Saptami aayi,
Mukti mahal pahuche Jinarai.
Nirvanotsav ko sur aaye,
Koot Prabhas ki mahima gaye ||

Swastik chinh sahit Jinaraj,
Paar kare bhav sindhu jahaj.
Jo bhi Prabhu ka dhyan lagate,
Unke sab sankat kat jaate ||

Chalisa Suparshva Swami ka,
Maan hare krodhi kaami ka.
Jinmandir mein aakar padhna,
Prabhu ka mann se naam sumarna ||
Aruna ko hai dridh vishwas,
Poora hove sab ki aas ||

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Suparshwnaath Chalisa PDF

Download Shri Suparshwnaath Chalisa PDF

Shri Suparshwnaath Chalisa PDF

Leave a Comment