Download HinduNidhi App
Share This

।। Aarti ।।

Om Jai Pushpadant Swami,
Prabhu Jai Pushpadant Swami।
Aarti tumhari utaru,
Aarti tumhari utaru, Ho Antaryami।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Jayarama hai maat aapki,
Pitu Sugriva kahaya।
Prabhu Pitu Sugriva kahaya,
Kshatriyakul Ikshwaku vansh mein।
Kshatriyakul Ikshwaku vansh mein,
Kashyap gotra suhay।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Kakandi Nagari mein janmein,
Vaibhav tha bhari।
Prabhu Vaibhav tha bhari,
Rajya tyagkar sahas nrpati sang।
Rajya tyagkar sahas nrpati sang,
Munideeksha dhari।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Ulkapat dekhkar Prabhu ne,
Athir Lakha sansar।
Prabhu Athir Lakha sansar,
Bhaye Digambar kari tapasya।
Bhaye Digambar kari tapasya,
Raga-dvesha ko tar।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Shri Sammedashikhar se Prabhu ji,
Aap gaye nirmaan।
Prabhu Aap gaye nirmaan,
Bhadav Sudi Ashtami ke din।
Bhadav Sudi Ashtami ke din,
Paya moksha mahan।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Suvidhinath bhi naam tumhara,
Bhakto ke man bhaya।
Prabhu Bhakto ke man bhaya,
Tere aap jag jan ko tara।
Tere aap jag jan ko tara,
Taran taran kahaya।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Padmasan mein aap viraje,
Nasa drishti suhay।
Prabhu Nasa drishti suhay,
Atishayakari Atimanogya tum।
Atishayakari Atimanogya tum,
Saumya-murti sukh day।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Sava lakh jo jap jape Prabhu,
Manvanchit phal paaye।
Prabhu Manvanchit phal paaye,
Sevak sharan tumhari aaya।
Sevak sharan tumhari aaya,
Charano sheesh navaya।

Om Jai Pushpadant Swami,
Prabhu Jai Pushpadant Swami।
Aarti tumhari utaru,
Aarti tumhari utaru, Ho Antaryami।

|| Om Jai Pushpadant Swami…|| 

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Suvidhinath Aarti PDF

Shri Suvidhinath Aarti PDF

Leave a Comment