Download HinduNidhi App
Share This

॥ Doha॥

Ramanuj Pad Kamal Ka,
Manme Dar Kar Dhyan।

Shri-Nivas Bhagwan Ka,
Kare Vimal Gunn Gaan॥

Tirupati Ki Mahima Badi,
Gaate Vedh-Puran।

Kaliyug Mei Pratyaksh Hai,
Venkateswara Bhagwan॥

॥ Chaupai ॥

Jai Shri Venkateswara Karuna Kar।
Shri-Niwas Swami Sukh Sagar॥

Jai Jai Tirupati Dhaam Nivaasi ।
Akhil Lok Swami AveeNaasi ॥

Jai Shri Venkateswara-Bhagwana।
Karuna Sagar Kripa Nidhana ॥

Saptgiri SheshaChal Vaasi।
Tirupati Parvath Shikhar Nivaasi ॥

Shri Darshan Mahima Ati Bhaari।
Aate Nith Laakho NarNaari ॥

Dev Rishi Gandhrav Jagate।
SubhPrabhat Sab Milkar Gaate ॥

Sakal Srishti Ke Praani Aave।
SubhPrabhat Subh Darshan Paave ॥

VishwaRup Darshan Sukh-Kaari।
Shri Vigrah Ki Shobha Bhaari ॥

Vedh Puran Shashtr Yash Gaave।
Ati Durlab Darshan BatLaave ॥

Jin Par Prabhu Kripa Karte Hai।
Unko Yahe Darshan Milte Hai ॥

Maha Vishnu Shriman-Narayan।
Bhakto Ke Karaj Sarayan ॥

SheshaChal Par Sadha Virajhe।
Shankh Chakr Kar Sundar Saajhe ॥

Abhay Hast Ki Mudra Pyari।
Safal Kamna Karti Saari ॥

Venkatesh Prabhu Tirupati Bala।
SharanaGath Rakshak PrathiPala ॥

ShriVenkunth Lok Nij Taj Par।
ShriSwami Pushkarini Tat Par ॥

Bhakt Kaarye Karne Ko Aaye।
Kaliyug Mei Pratyaksh Kahaye ॥

Swami Trith PunyaPrad Paawan।
Snaan Maatr Sabh Paap NasaVan ॥

Jau Isme Karte Hai snaan।
Unko Milta Punye Mahaan ॥

Pratham Yaha Darshan Adhikaari।
ShriVrahah Swami Sukhkaari ॥

Pahle Darshan Inka Karke।
Bhu-Vrahah Ko Pratham Sumir Ke ॥

Shri Venkateswara Charan Chit Dharana।
Shri-Nivaas Ke Darshan Karna ॥

Venkatesh Sam Is Kaliyug Mei।
Anya Dev Nahi Is Jag Mei ॥

Pahle Bhi Nahi Huva Kahi Hai।
Aage Ho Yahe Satya Nahi Hai ॥

Om Naham Shri VenkatBala।
BhaktJano Ke Tum Rakhwala ॥

Bhakt Jaha Agnit Nit Aate।
Sona Chandi Nakad Chadate ॥

Shradha Se Kar Hundi Seva।
Seva Se Sab Pate Meva ॥

Shri-Nivas Ki Sundar Murti।
ManoKamana Karti Purthi ॥

Darshan Kar Harshit Sab Tan Man।
Sundar Sukhad SushoBhit Darshan ॥

Divya Madhur Sundar prasad Hai।
Laddu Amrit Divya Swad Hai ॥

MahaPrasad divya Jau Paate।
Unke Paap Sabhi Kat Jaate ॥

Mahima Athi prasad Ki Bhaari।
Mithti Bhav Badhaye Saari ॥

Kesar-Chandan Yut ChranaMrit।
Divya Sugandhit Prabhu Ka Tirath ॥

Tirath-Prasad Bhakt Jau Paate।
Aavgaman Mukht Ho Jaate ॥

‘Chaurasi’ Mei Fir Nahi Aate।
Jau Prasad “Laddu” Ka Paate ॥

Sukh Sampati Vanchit Fal Paave।
Fir Venkunt Lok Mei Jaave ॥

‘Ve’ ka Arth Paap BathLaya।
‘Kat’ ka Arth Kaat de Maaya ॥

Maaya paap Kaatne Vaala।
Venkatesh Prabhu Tirupati Baala ॥

Shri-Nivas Vishnu Avatara।
Mahima Jaanat Hai Jag Saara ॥

Jau Yahe Shri Chalisa Gaave।
Safal padarath Jag Ke Paave ॥

Sabhad Pushap Shri Charan Chadakar।
Kare Prathna Bhakt ‘Gadadhar’ ॥

॥ Doha॥

Jai Jai Shri Tirupati-Pati
Shri-Nivas Bhagwan।

Karo Siidh Sab Kaamna
Swami Kripa Nidhan ॥

॥ Shri Venkateswara Bhagwan Ki Jay ॥

Read in More Languages:

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Venkateswara Chalisa PDF

Shri Venkateswara Chalisa PDF

Leave a Comment