Download HinduNidhi App
Misc

Shri Abhinandan Nath Aarti

MiscAarti (आरती संग्रह)English
Share This

।। Aarti ।।

Abhinandan Prabhu Ji ki aaj,
Hum sab aarti karein।
Bada saancha Prabhu ka darbar,
Sab mil aarti karein ।।

Raja swayamvar ke ghar
Jab the janmein,
Indragan aa Meru pe
Abhishek karte,
Nagri Ayodhya mein khushiyan apar,
Praja jan utsav karein।।

|| Abhinandan Prabhu Ji Ki Aaj… || 

Magh Sudi Baras ki
Tithi bani nyari,
Prabhuvr ne ugra van mein
Diksha thi dhari,
Trailokya poojya Prabhuvr ki aaj,
Sab mil aarti karein।।

|| Abhinandan Prabhu Ji Ki Aaj… || 

Poush Sudi Chaudas mein
Keval Ravi pragata,
Prabhu ki divyadhwani sunkar
Jag sara harsha,
Kevalgyani Prabhuvr ki aaj,
Sab mil aarti karein।।

|| Abhinandan Prabhu Ji Ki Aaj… || 

Shashwat nirvanasthali
Sammed Giri hai,
Wahi pe Prabhu ne mukti
Kanya vari hai,
Muktiramapti Prabhu ki aaj,
Sab mil aarti karein।।

|| Abhinandan Prabhu Ji Ki Aaj… || 

Prabhu tere dwar
Hum aarti ko aaye,
Aarti ke dwar bhav
Aarat mitaye,
Mile Shivamarg,
Sab mil aarti karein।।

|| Abhinandan Prabhu Ji Ki Aaj… || 

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Abhinandan Nath Aarti PDF

Download Shri Abhinandan Nath Aarti PDF

Shri Abhinandan Nath Aarti PDF

Leave a Comment