Download HinduNidhi App
Share This

|| Chalisa ||

Shri Adinath ko shish nava kar,
Sharade Maa ko dhyaay.
Shuru karun Shri Ajitnath ka,
Chalisa swapar sukhadaay.

Jai Shri Ajitnath Jinraaj,
Paavan chihn dhare Gajraaj.
Nagar Ayodhya karte raaj,
Jitaraj naamak Mahaaraaj.

Vijaysena unki Mahaarani,
Dekhe solah swapna lalaami.
Divya vimaan vijay se chakar,
Janani udar base Prabhu aakar.

Shukla Dashami Magh maas ki,
Janm Jayanti Ajit Nath ki.
Indra Prabhu ko sheeshadhaar kar,
Gayi Sumeru harshit ho kar.

Neer sheer sagar se laakar,
Nhavan karen bhakti mein bharkar.
Vastra-bhushan divya pahnaaye,
Vaapas lot Ayodhya aaye.

Ajit Nath ki shobha nyaari,
Varn Swarn sam kaantidhaari.
Beeta bachpan jab hitkaari,
Hua byaah tab mangalakaari.

Karma bandh nahi ho bhogo mein,
Antardrishti thi yoga mein.
Chanchal chapla dekhi nabha mein,
Hua vairagya nirantar man mein.

Rajpaat nij sut ko dekar,
Huye Digambar deeksha lekar.
Chhah din baad hua aahaar,
Kare shreshthi Brahma satkaar.

Kiye panch acharaj devo ne,
Punyoparjan kiya sabhi ne.
Barah varsh tapasya keeni,
Divyagyaan ki siddhi naveeni.

Dhanpati ne Indraajna paakar,
Rach diya Samosharan harshakar.
Sabha vishaal lagi Jinvar ki,
Divyadhvani khirti Prabhuvr ki.

Vaad vivaad mitaane hetu,
Anekant ka baandha setu.
Hai saapeksha yaha sab tatva,
Anyonyaashrit hai un satva.

Sab jivo mein hai jo aatma,
Ve bhi ho sakte shuddhaatma.
Dhyaan agni ka taap mile jab,
Kewal gyaan ki jyoti jale tab.

Moksha marg to bahut saral hai,
Lekin raahi hue viral hai.
Heera to sab le nahi paave,
Sabzi bhaaji bheeng dharave.

Divyadhvani sun kar Jinvar ki,
Khili kali jan jan ke man ki.
Prapti kar samyagdarshan ki,
Bagiya mahki bhavy jano ki.

Hinsak pashu bhi samta dhaare,
Janm janm ka ka vair nivaare.
Poorn prabhaavna hui dharm ki,
Bhavna shuddh hui bhavijan ki.

Dur dur tak hua vihaar,
Sadaachaar ka hua prachaar.
Ek maah ki umra rahi jab,
Gaye shikhar sammed Prabhu tab.

Akhank moun mudra ki dhaaran,
Karm aghaati hetu nivaaran.
Shukla dhyaan ka hua prataap,
Lok shikhar par pahunchae aap.

Siddhvar kut ki bhaari mahima,
Gaate sab Prabhu ke gun garima.

Vijit kiye Shri Ajit ne,
Asht karma balwaan.
Nihit aatmagun amit hai,
Aruna sukh ki khan.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Ajitnaath Chalisa PDF

Shri Ajitnaath Chalisa PDF

Leave a Comment