Download HinduNidhi App
Share This

|| Stuti ||

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve,

Ham sabke pran aadhar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Aaram sukhon ke data ho tum,
Sabke bhagya vidhata ho,

Sansar ka saar tumhi to ho,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Jag apni masti mein jeeta hai,
Tum bin jeevan yeh reeta hai,

Ham sabke bas aadhar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Tum sabke srijan haare ho,
Bharte sabke bhandare ho,

Sukh ka keval aadhar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Ho gagan tum hi paatal tumhi,
Suraj chanda prakash tumhi,

Ichchachari Mahadev ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Pradaan karo apni bhakti,
Bhar do jeevan mein tum shakti,

Bal buddhi ke bhandar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Sansar ke palan haar ho tum,
Bala Ji, tumhari jay ho ve.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Bala Ji Stuti PDF

Download Shri Bala Ji Stuti PDF

Shri Bala Ji Stuti PDF

Leave a Comment