Download HinduNidhi App
Misc

Shri Dhanvantari Ji Ki Aarti

MiscAarti (आरती संग्रह)English
Share This

|| Aarti ||

Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva,
Jara-roga se peedit,
Jan-jan sukh Deva.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Tum samudra se nikale,
Amrit kalash liye,
Devasur ke sankat
Aakar door kiye.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Ayurved banaya,
Jag mein phailaya,
Sada swasth rahne ka,
Sadhan batlaya.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Bhuja char ati sundar,
Shankh sudha dhari,
Ayurved vanaspati se
Shobha bhari.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Tumko jo nit dhyaave,
Roga nahin aave,
Asadhya roga bhi uska,
Nishchay mit jaave.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Haath jodkar Prabhuji,
Daas khada tera,
Vaidya samaj tumhare
Charano ka ghera.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Dhanvantari Ji ki Aarti
Jo koi nar gaave,
Rog-shok na aaye,
Sukh-samriddhi paave.

Swami Jai Dhanvantari Deva,
Jai Dhanvantari Ji Deva

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Dhanvantari Ji Ki Aarti PDF

Shri Dhanvantari Ji Ki Aarti PDF

Leave a Comment