Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Shish Nava Arihanta Ko,
Siddhana Karu Pranam.
Upadhyaya Acharya Ka,
Le Sukhkari Naam.

Sarva Sadhu Aur Saraswati,
Jin Mandir Sukhkari.
Ahichhatra Aur Parshva Ko,
Man Mandir Mein Dhara.

|| Chaupai ||

Parshvanath Jagat Hitakari,
Ho Swami Tum Vrat Ke Dhari.
Sur Nar Asur Karen Tum Seva,
Tum Hi Sab Devan Ke Deva.

Tumse Karam Shatru Bhi Hara,
Tum Kina Jag Ka Nistara.
Ashvasain Ke Rajdulare,
Vama Ki Aankhon Ke Taare.

Kashi Ji Ke Swami Kahaye,
Saari Parja Mauj Udaye.
Ek Din Sab Mitron Ko Leke,
Sair Karne Ko Van Mein Pahunchhe.

Hathi Par Kaskar Ambari,
Ek Jungle Mein Gai Sawari.
Ek Tapasvi Dekh Wahan Par,
Usse Bole Vachan Sunakar.

Tapasi! Tum Kyon Pap Kamate,
Is Lakad Mein Jeev Jalate.
Tapasi Tabhi Kudal Uthaya,
Us Lakad Ko Cheer Giraya.

Nikale Nag-Nagani Kaare,
Marne Ke The Nikat Bichare.
Raham Prabhu Ke Dil Mein Aaya,
Tabhi Mantra Navakar Sunaya.

Bhar Kar Vo Patal Siddhaye,
Padmavati Dharanendra Kahaye.
Tapasi Mar Kar Dev Kahaya,
Naam Kamath Granthon Mein Gaya.

Ek Samay Shriparsa Swami,
Raj Chhod Kar Van Ki Thani.
Tap Karte The Dhyan Lagaye,
Ek Din Kamath Wahan Par Aaye.

Phauran Hi Prabhu Ko Pahichana,
Badla Lena Dil Mein Thana.
Bahut Adhik Barish Barsai,
Badal Garje Bijli Girai.

Bahut Adhik Patthar Barsaye,
Swami Tan Ko Nahin Hilaye.
Padmavati Dharanendra Bhi Aaye,
Prabhu Ki Seva Mein Chit Laye.

Dharanendra Ne Phan Failaya,
Prabhu Ke Sir Par Chatra Banaya.
Padmavati Ne Phan Failaya,
Us Par Swami Ko Baithaya.

Karma Nash Prabhu Gyan Upaya,
Samosharan Deveshwar Rachaya.
Yahi Jagah Ahichhatra Kahaye,
Patra Keshari Jahan Par Aaye.

Shishya Paanch Sau Sang Vidwana,
Jin Ko Jaane Sakal Jana.
Parshvanath Ka Darshan Paya,
Sabne Jain Dharm Apnaya.

Ahichhatra Shri Sundar Nagari,
Jahan Sukhi Thi Parja Sagar.
Raja Shri Vasupal Kahaye,
Vo Ek Jin Mandir Banwaye.

Pratima Par Palish Karwaya,
Phauran Ek Mistri Bulwaya.
Vah Mistri Maans Tha Khata,
Isse Palish Tha Gir Jata.

Muni Ne Use Upaya Bataya,
Paras Darshan Vrat Dilwaya.
Mistri Ne Vrat Palan Kina,
Phauran Hi Rang Chadha Navina.

Gadar Satavan Ka Kissa Hai,
Ek Mali Ka Yon Likha Hai.
Vah Mali Pratima Ko Leke,
Jhat Chhup Gaya Kuwe Ke Andar.

Us Pani Ka Atishay Bhari,
Door Hoye Saari Bimari.
Jo Ahichhatra Hriday Se Dhvawe,
So Nar Uttam Padvi Pave.

Putra Sampada Ki Badhati Ho,
Papon Ki Ek Dam Ghati Ho.
Hai Tahsil Aanwala Bhari,
Station Par Mili Sawari.

Ramnagar Ek Gram Barabar,
Jisko Jaane Sab Nari Nar.
Chali Se Ko ‘Chandra’ Banaye,
Haath Jodkar Shish Navaaye.

|| Soratha ||

Nit Chalisahin Bar,
Path Kare Chalis Din.
Kheya Sugandha Apar,
Ahichhatra Mein Aaye Ke.

Hoy Kubera Saman,
Janma Daridri Hoy Jo.
Jiske Nahin Santan,
Naam Vansh Jag Mein Chale.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Parshvanath Chalisa PDF

Download Shri Parshvanath Chalisa PDF

Shri Parshvanath Chalisa PDF

Leave a Comment