Download HinduNidhi App
Share This

|| Chalisa ||

Dukh se tapt marusthal bhav mein,
Saghan vriksha sam chhayakar.
Pushpadant pad-chhatra-
Chhav mein hum ashray paave sukhakaar.

Jambudvip ke Bharat kshetra mein,
Kakandi namak nagari mein.

Rajye kare Sugriva baladhari,
Jayarama rani thi pyari.

Navami Falgun Krishna balvani,
Shodash swapna dekhti rani.

Sut Tirthankar garbh mein aaye,
Garbh kalyanak Dev manaye.

Pratipada Mangsir ujyari,
Janme Pushpadant hitkari.

Janmotsav ki shobha nyaari,
Swargpuri sam nagari pyari.

Ayu thi do lakh poorv ki,
Unchai shat ek dhanush ki.

Thami jab rajye Bagdor,
Kshetra vridhi hui chahun oar.

Icchayein unki seemit,
Mitra Prabhu ke hue asimit.

Ek din Ulkapat dekhar,
Drishtipal kiya jeevan par.

Sthir koi padarth na jag mein,
Mile na sukh kuchit bhavamag mein.

Brahmalok se suragan aaye,
Jinvar ka vairagya badhaye.

Sumati putra ko dekar raj,
Shivika mein Prabhu gaye viraj.

Pushpak van mein gaye hitkar,
Diksha li Sangbhoop hazaar.

Gaye Shailpur do din baad,
Hua aahar wahan niraabad.

Patradan se harshit homkar,
Panchashchary kare sur aakar.

Prabhuvr lot gaye upvan ko,
Tatpar hue karm-chedan ko.

Lagi samadhi Nag vriksha tal,
Kevalgyan upaya nirmal.

Indraagya se Samosharan ki,
Dhanpati ne aakar rachna ki.

Divya deshna hoti Prabhu ki,
Gyan pipasa miti jagat ki.

Anupreksha dwadash samjhai,
Dharm swaroop vicharo bhai.

Shukl dhyan ki mahima gayi,
Shukl dhyan se honge Shivarai.

Charo bhed sahit dharo man,
Moksha mahal mein pahunchon tatkan.

Moksh marg darshaya Prabhu ne,
Harshit hue sakal jan man mein.

Indra kare prarthana jod kar,
Sukhad vihar hua Shri Jinvar.

Gaye ant mein Shikhar Sammed,
Dhyan mein leen hue nirakhed.

Shukl dhyan se kiya karmakshay,
Sandhya samay paya pad akshay.

Ashwin Ashtami Shukl Mahan,
Moksh kalyanak karen sur aan.

Suprabh Koot ki karte pooja,
Suvidhi Nath naam hai dooja.

Magarmachchh hai lakshan Prabhu ka,
Mangalmay jeevan tha unka.

Shikhar Sammed mein bhari atishay,
Prabhu pratima hai chamatkarmay.

Kaliyug mein bhi aate dev,
Pratidin nritya karen swayam ev.

Ghungroo ki jhankar goonjati,
Sab ke man ko mohit karti.

Dhvani suni humne kano se,
Pooja ki bahu upamano se.

Hamko hai ye dridh shraddhaan,
Bhakti se payen Shivthan.

Bhakti mein shakti hai nyari,
Raah dikhayen Karunadhari.

Pushpadant gungaan se,
Nishchit ho kalyan.
Ham sab anukram se mile,
Antim pad Nirvan.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Pushpadant Chalisa PDF

Shri Pushpadant Chalisa PDF

Leave a Comment