Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Siddh Prabhu ko namaskar kar,
Arihanto ka dhyan.
Aacharaj uvadhay ko,
Karta nitya pranam.
Sheetal Prabhu ka naam hai,
Sheetalta ko paaye.
Sheetal Chalisa padhe,
Shat shat sheesh jhukaaye.

|| Chaupai ||

Sheetal Prabhu Jindev hamare,
Jag santap se karo kinaare.
Chandra bimb na chandan Sheetal,
Ganga ka na neer hai Sheetal.

Sheetal hai bas vachan tumhare,
Aatma ko de shanti hamare.
Nagar bhakt naam suhaana,
DriddhRath ka tha raajya mahaan.

Maat Sunanda tab harshaye,
Sheetal Prabhu jab garbh mein aaye.
Chet Krishna Ashtami thi pyaari,
Aaran swarg se aaye sukhaari.

Ratno ne aavaas banaya,
Lakshmi ne tumko apnaaya.
Maagh Krishna Dwadashi jab aayi,
Janm hua Tribhuvan Jinrai.

Sur surendra Airavat laaye,
Paanduk shila abhishek karaaye.
Ek laakh poorab ki aayu,
Sukh ki nishdin chalti vaayu.

Nabbey dhanush ki paai kaaya,
Swarn samaan roop batlaaya.
Dharm arth aru kaam ka sevan,
Phir mukti paane ka saadhan.

Os dekh moti si lagti,
Surya kiran se hi bhag jaati.
Drishya dekh vairagya hua tha,
Deeksha le tap dhaar liya tha.

Kshan bhangur hai sukh ki kaliyan,
Jhoothi hai sansaar ki galiyan.
Rishte naate mit jaayenge,
Dharm se hi mukti paayenge.

Lokantik devon ka aana,
Phir unka vairagya badhana.
Indra palaki lekar aaya,
Shukra Prabha shubh naam bataya.

Van ja vastra-bhushan tyage,
Aatam dhyaan mein chitt tab laage.
Karmo ke bandhan ko chhoda,
Moh karm se naata toda.

Aur karm ke dheele bandhan,
Mita Prabhu ka karm ka krandan.
Gyaan sooraj tab jaakar pragata,
Karm megh jab jaakar vighata.

Samavasharan Jin mahal banaya,
Dharm sabha mein paath padhaya.
Daud-daud ke bhakt ye aate,
Prabhu darshan se shanti paate.

Vipadaon ne aana chhoda,
Sankat ne bhi naata toda.
Khushhaali ka hua basera,
Aanand sukh ka hua savera.

Hai Prabhu mujhko paar lagaana,
Mujhko satpath raah dikhana.
Tumne bhakto ko hai taara,
Tumne unko diya kinaara.

Meri baar na der lagaana,
Riddhi siddhi ka mile khazaana.
Aap jagat ko Sheetal data,
Mera taap haro jag traata.

Subah shaam bhakti ko gaao,
Tere charana lagan lagaao.
Aur jagah araam na paao,
Bas teri sharan sukh paao.

Yog nirodh jab dharaan keena,
Samavasharan taj dharm navina.
Shri Sammed Shikhar par aaye,
Wahan pe antim dhyaan lagaye.

Antim lakshya ko tumne paaya,
Teerthankar ban mukti ko paaya.
Koot vidyutvar yeh kahlaaye,
Bhakt jo jaakar darshan paaye.

Siddhalay vaasi kahlaaye,
Nahi laut ab vaapas aaye.
Hai Prabhu mujhko paas bulaana,
Shakti do sanyam ka baana.

Gyaan chakshu mere khul jaaye,
Samyagdarshan gyaan ko paaye.
Swasti tere charan ki cheri,
Paar karo, na karna deri.

|| Doha ||

Chalisa jo nit padhe,
Man vach kaay lagaye.
Riddhi siddhi mangal badhe,
Shat-shat sheesh jhukaaye.
Karm taap nashan kiya,
Chalisa manhaar.
Sheetal Prabhu sheetal kare,
Aaye jagat bahaar.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Sheetalnath Chalisa PDF

Shri Sheetalnath Chalisa PDF

Leave a Comment