Download HinduNidhi App
Share This

।। Aarti ।।

Jai Sumatinath Deva,
Swami Jai Sumatinath Deva.
Karun tumhari Aarti,
Swami Meto Agh Mera.

Maat Mangala, Pita Megharath,
Tinke Prabhu Janme.
Swami Tinke Prabhu Janme.
Dhany hua hai nagar Ayodhya,
Dev jaha utare.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Sumatinath ki pratima hai
Yah atishay dikhlati.
Swami Atishay dikhlati.
Bhakti bhav se jo koi pooje,
Aatam tar jaati.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Shri Sudarshan ko sapne mein,
Pratima dikhlayi.
Swami Pratima dikhlayi.
Bhoomi bhitari pratima baithi,
Bhoomi khudvayi.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Sumatinath prakat huye hain,
Chamatkar ki jeet.
Swami Chamatkar ki jeet.
Veer Nirvaan Chaubis Chauhattar,
Phalgun Shukla Teej.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Charon or hua jaykara,
Shravak harshaya.
Swami Shravak harshaya.
Bhavy Jinalay Raivasa mein,
Prabhu ko baithaya.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Ik din Muni Sudhasagar Ji,
Darshan ko aaye.
Swami Darshan ko aaye.
Dekh atishay Sumatinath ka,
Atishay gun gaaye.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Ghoshit kiya naam Bhavyoday,
Kshetra Raivasa.
Swami Kshetra Raivasa.
Bhavyoday ka atishay hai yah,
Devon ka vaas.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Bhoot Palito ka sankat jo,
Darshan se talti.
Swami Darshan se talti.
Nana sukh vaibhav ko paakar,
Sabko dukh hartti.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Karm ke maare dukhiya aate,
Charanon mein padte.
Swami Charanon mein padte.
Nirmal mann se Aarti karte,
Sukhiya ho jaate.

|| Jai Sumatinath Deva…||

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Sumtinath Aarti PDF

Download Shri Sumtinath Aarti PDF

Shri Sumtinath Aarti PDF

Leave a Comment