Misc

Shri Abhinandan Nath Chalisa

Shri Abhinandan Nath Chalisa English Lyrics

MiscChalisa (चालीसा संग्रह)English
Share This

Join HinduNidhi WhatsApp Channel

Stay updated with the latest Hindu Text, updates, and exclusive content. Join our WhatsApp channel now!

Join Now

।। Chalisa ।।

Rishabh-Ajit-Sambhav Abhinandan,
Daya kare sab par dukh-bhanjan
Janam-marana ke tute bandhan,
Man mandir tishteh abhinandan।।

Ayodhya nagari ati sundar,
Karte rajya bhupati sanvar।।

Siddhartha unki maharani,
Sundarta mein thi lasani।।

Rani ne dekhe shubh sapne,
Barse ratan mahal ke angane।।

Mukh mein dekha hasti samata,
Kahlaai Teerthankar mata।।

Janani udar Prabhu avatare,
Swargo se aaye sur saare।।

Maat-pita ki puja karte,
Garbh kalyanak utsav karte।।

Dhadashi Magh shukla ki aayi,
Janme abhinandan Jinrai।।

Devo ke bhi asan kaanpe,
Shishu ko le kar gaye Meru pe।।

Nahavan kiya shat-aath kalash se,
Abhinandan kaha prem bhav se।।

Surya saman Prabhu tejswi,
Huye jagat mein mahayashswi।।

Bole hit-mit vachan subodh,
Vani mein nahi kahi virudh।।

Yauvan se jab huye vibhooshit,
Rajyashree ko kiya susobhit।।

Saaḍe teena sau dhanush praman,
Unnat Prabhu-tan shobhawan।।

Paranai kanyayein anek,
Lekin chhoda nahi vivek।।

Nitya prati nootan bhog bhogte,
Jal mein bhinna kamal sam rahte।।

Ek din dekhe megh ambar mein,
Megh mahal bante pal bhar mein।।

Huye vilin pawan chalne se,
Udaasi ho gaye jagat se।।

Rajpath neej sut ko saumpa,
Man mein samata-vriksha ko roopa।।

Gaye Ugr namak udyan,
Deekshit huye wahan Gunkhan।।

Shukla Dhadashi thi Magh maas,
Do din ka dhara upvas।।

Teesre din phir kiya vihar,
Indradatt nripane diya ahar।।

Varsh attharah kiya ghor tap,
Sahe sheet-varsha aur atap।।

Ek din asan vriksha ke niche,
Dhyan vrishṭi se aatam sinche।।

Udaya hua keval dinkar ka,
Loka loka gyan mein jhalakha।।

Hui tab samosharan ki rachna,
Khiri Prabhu ki divya deshna।।

Jiva-jeev aur dharma-adharma,
Akash-kal shat-dravya marm।।

Jiva dravya hi sarbhut hai,
Swayam siddh hi paramput hai।।

Roop teen lok-samjhaya,
Urdhva-madhya-adho lok bataya।।

Niche narak bataye saat,
Bhugte papi apne pap।।

Upar solah swarg sujaan,
Chatur-nikay dev viman।।

Madhya lok mein dhīp asankhya,
Dhai dhīp mein jaaye bhavya।।

Bhatak ko sanmarg dikhaya,
Bhavyo ko bhav-par lagaya।।

Pahunch gaye gadh sammed ant mein,
Pratima yog dhara ekaant mein।।

Shukladhyan mein leen huye tab,
Karma prakriti kshin hui sab।।

Vaisakh shukla shashthi punyawan,
Pratah Prabhu ka hua nirvaan।।

Moksha kalyankak karen sur aakar,
Anandkoot pooje harshakar।।

Chalisa Shri Jin Abhinandan,
Door kare sabke bhavakrandan।।
Swami tum ho papanikandan,
Aruna kareti shat-shat vandan।।

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Abhinandan Nath Chalisa PDF

Download Shri Abhinandan Nath Chalisa PDF

Shri Abhinandan Nath Chalisa PDF

Leave a Comment

Join WhatsApp Channel Download App