Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Man mandir mere aan baso,
Aarambh karun gun-gaan.
Gauri Maa Mateeshwari,
Do charano ka dhyaan.

Poojan vidhi na jaanti,
Par shraddha hai apaar.
Pranaam mera swikaariye,
Hey Maa pran aadhaar.

|| Chaupai ||

Namo Namo hey Gauri Maa,
Aap ho meri bhagya vidhaata.

Sharanagat na kabhi gabharaata,
Gauri Uma Shankari Maa.

Aapka priya hai aadar paata,
Jai ho Kartikeya Ganesh ki Maa.

Mahadev Ganpati sang aao,
Mere sakal kalesh mitao.

Saarthak ho jaaye jag mein jeena,
Satkarmo se kabhi hatu na.

Sakal manorath poorn kijo,
sukh suvidha vardaan mein dijiyo.

Hey Maa bhagya rekha jagaa do,
Man bhavna suyog mila do.

Man ko bhaaye vo var chaahu,
Sasural paksh ka sneh main paayu.

Param aaradhya aap ho meri,
Phir kyun var mein itni deri.

Hamare kaaj sampurn kijiyo,
Thode mein barkat bhar dijiyo.

Apni daya banaaye rakhna,
Bhakti bhav jagaaye rakhna.

Gauri Maa mata anasan rahna,
Kabhi na khoyun man ka chaina.

Dev muni sab sheesh navaate,
Sukh suvidha ko var mein paate.

Shraddha bhav jo lekar aaya,
Bin maange bhi sab kuch paaya.

Har sankat se use ubaara,
Aage badh ke diya sahaara.

Jab bhi Maa aap sneh dikhlave,
Niraash man mein aas jagaave.

Shiv bhi aapka kaha na taale,
Daya drishti hum pe daale.

Jo jan karta aapka dhyaan,
Jag mein paaye maan sammaan.

Sachche mann jo sumiran karti,
Uske suhaag ki raksha karti.

Daya drishti jab Maa daale,
Bhav saagar se paar utaare.

Jape jo Om Namah Shivaya,
Shiv parivaar ka sneh vo paaye.

Jispe aap daya dikhave, dushṭ
Aatma nahin sataave.

Saath gun ki ho daata aap,
Har ik mann ki jaata aap.

Kaato humare sakal kaleśha,
Nirog rahe parivaar hamesh.

Dukh santaap mita dena Maa,
Megh daya ke barsa dena Maa.

Jabahi aap mauj mein aaye,
Hath jai Maa sab vipadaaye.

Jis pe dayaal ho Maa aap,
Uska bṛiddharta punya prataap.

Phal-phool main dugdh chadaau,
Shraddha-bhav se aapko dhyaau.

Avagun mere dhak dena Maa,
Mamatā aanchal kar dena Maa.

Kathin nahin kuch aapko Maa,
Jag thukraya daya ko paata.

Bin paau na gun Maa tere,
Naam dhaam swaroop bahu tere.

Jitne aapke paavan dhaam,
Sab dhaamo ko Maa pranaam.

Aapki daya ka hai na paar,
Tabhi ko pooje kul sansaar.

Nirmal mann jo sharan mein aata,
Mukti ki vo yukti paata.

Santosh dhann se daaman bhar do,
Asambhav ko Maa sambhav kar do.

Aapki daya ke bhaare,
Sukhī base mera parivaar.

Aapki mahimaa ati niraali,
Bhakto ke dukh harne vaali.

Manokaamna puran karti,
Man ki duvidha pal mein hartii.

Chaalisaa jo bhi padhe sunaaye,
Suyog var vardaan mein paaye.

Aashaa poorn kar dena Maa,
Sumangal saakhi var dena Maa.

|| Doha ||

Gauri Maa vinati karun,
Aana aapke dvaar.
Aisi Maa krupa kijiye,
Ho jaaye uddhaar.

Read in More Languages:

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Gauri Maa Chalisa PDF

Shri Gauri Maa Chalisa PDF

Leave a Comment