॥ Doha ॥
Manasa Maa Nageshwari,
Kast haran sukhadham.
Chintagrast har jeev ke,
Siddh karo sab kaam॥
Devi ghat-ghat vaasini,
Hriday tera vishaal.
Nishthaavaan har bhakt par,
Rahiyo sada taiyaar॥
॥ Chaupai ॥
Padmavati bhayamochini amba,
Sukh sanjeevani Maa Jagadamba.
Mansha poorak amar ananta,
Tumko har chintak ki chinta॥
Kamadhenu sam kala tumhaari,
Tumhi ho sharanagat rakhwali॥
Nij chaaya mein jin ko leti,
Unko rog-mukt kar deti॥
Dhanvaibhav sukhshaanti dena,
Vyavasaay mein unnati dena॥
Tum naagon ki swaamini Maa,
Saara jag teri mahima gaata॥
Mahaasiddha Jagpaal Bhawani,
Kast nivaarak Maa Kalyani॥
Yaachana yahi saanjh savere,
Sukh sampada moh na phere॥
Paramanand varadaayini Maiya,
Siddhi jyot sukhadaayini Maiya॥
Divya anant ratnon ki maalik,
Aavaagaman ki mahasanchalak॥
Bhagya ravi kar uday hamaara,
Aastik Maa aparmpara॥
Vidyamaan ho kan kan bheetar,
Bas ja sadhak ke mann bheetar॥
Paapbhakshini Shaktishaala,
Hariyo dukh ka timir ye kaala॥
Path ke sab avarodh hataana,
Karm ke yogi hamein banaana॥
Aatmik shaanti deejho Maiya,
Grah ka bhay har lijjho Maiya॥
Divya gyaan se yukt Bhawani,
Karo sankat se mukt Bhawani॥
Vishahari kanya, Kashyap baala,
Archana chintan ki do maala॥
Kripa Bhageerath ka jal de do,
Durbal kaaya ko bal de do॥
Amrit kumbh hai paas tumhare,
Sakal devta daas tumhare॥
Amar tumhari divya kalaayein,
Vanchhit phal de kalp lataayein॥
Param shreshth anukampa waali,
Sharanagat ki kar rakhwaali॥
Bhoot pishaachar tonaa tant,
Door rahe Maa kalh bhayankar॥
Sach ke path se hum na bhatke,
Dharm ki drishti mein na khatke॥
Kshama Devi, tum daya ki jyoti,
Shubh kar mann ki hamein tum hoti॥
Jo bheegi tere bhakti ras mein,
Navagrah ho jaaye unke vash mein॥
Karuna teri jab ho Maharani,
Anpadh bante hain mahagyaani॥
Sukh jinhein ho tumne baantein,
Dukh ki deemak unhein na chaante॥
Kalpavriksh teri shakti waala,
Vaibhav hamein de niraala॥
Deendayala Nageshwari Maa,
Jo tum kehti likhe vidhaata॥
Dekhte hum jo aasha niraasha,
Maya tumhari ka hai tamaasha॥
Aapad vipad haro har jan ki,
Tumhein khabar har ek ke mann ki॥
Daal ke hum par mamta aanchal,
Shaant kar do samay ki halchal॥
Manasa Maa jag srijanhaari,
Sada sahaayak raho hamaari॥
Kast klesh na hamein sataave,
Vikat bala na koi bhi aave॥
Kripa sudha ki vrishṭi karna,
Har chintak ki chinta harṇa॥
Poori karo har mann ki manṣa,
Hamein bana do gyaan ki hansa॥
Paarsamanṇiyaan charan tumhaare,
Ujwal karde bhagya hamaare॥
Tribhuvan poojit Manasa Maa,
Tera sumiran ho phaldaai॥
॥ Doha ॥
Is gṛh anugrah ras barsa de,
Har jeevan niradosh bana de।
Bhoolenge upkaar na tere,
Poojenge Maa saanjh savere॥
Siddh Manasa Siddheshwari,
Siddh manorath kar.
Bhaktavatsala do hamein,
Sukh santosh ka var॥
॥ The Complete Shri Manasa Devi Chalisa ॥
Found a Mistake or Error? Report it Now