Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Apna mastak kaat kar leenha
Haath mein thaam,
Kamalasan par pag tale
Dalit huye ratikam.

Jagataran hi kaam hai,
Rajrappa hai dhaam,
Chinnamastaka ko karuṁ
Baranbar pranam.

|| Chaupai ||

Jay Ganesh Janani gun khani,
Jayati Chinnamastaka Bhavani.

Gauri Sati Uma Rudrani,
Jayati Mahavidya Kalyani.

Sarvamangala Mangalakari,
Mastak khadga dhare avikari.

Rajrappa mein vaas tumhara,
Tumse sada jagat ujiyara.

Tumse jagat charachar mata,
Bhajen tumhe Shiva Vishnu vidhata.

Yati Muniindra nit dhyan lagaven,
Narad Shesha nitya gun gaven.

Medha Rishi ko tumne tara,
Surath ka saubhagya nikara.

Vaishya samadhi gyan se mandit,
Hua Ambike pal mein pandit.

Rajrappa ka kan-kan nyara,
Damodar pavan jal dhara.

Mili jahan Bhairavi Bhavani,
Mahima amit na jaat bakhani.

Jay Shailesh suta ati pyari,
Jaya aur Vijaya sakhi pyari.

Sangam tata par gayi nahane,
Lagi sakhiyon ko bhukh satane.

Tab sakhiyan ne bhojan manga,
Sun chitkar jaga anuraga.

Nij sir kaat turat dikhlayi,
Apna shonit unhein pilayi.

Tabse kahe sakal budh gyani,
Jayatu Chinnamasta varadani.

Tum Jagadamba Anadi Ananta,
Gavat satat Ved muni santa.

Udahul phool tumhe ati bhaye,
Suman kaner charan raj paye.

Bhandaradah sangam tata pyare,
Ek divas ek vipra padhare.

Lie shankh choodi kar mala,
Aayi ek manoram bala.

Gaur badan shashi sundar majjita,
Rakta vasan shringar susajjita.

Boli vipra idhar tum aao,
Mujhe shankh choodi pahnao.

Bala ko choodi pahankar,
Chala vipra atishay sukha pakar.

Sunahu vipra bala tab boli,
Jatil rahasya potli kholi.

Param vichitra charitra akhanda,
Mere Janak Jageshwar panda.

Daam tohi choodi kar denge,
Ati harshit satkar karenge.

Pahuche dvija panda ke ghar par,
Chakit huye vah bhi sab sunakar.

Dono bhandar dah par aaye,
Chinnamasta ka darshan paaye.

Udit chandramukh shoshin vasani,
Jan man kalush nishachar asani.

Rakta kamal asan sit jwala,
Divya rupini thi vah bala.

Boli Chinnamastaka Mai,
Bhandar dah hamare man bhai.

Jako vipada bahut satave,
Durjan pret jise dhamkave.

Badhe rog rin ripu ki peera,
Hoye kasht se shithil sharira.

To nar kabhu na man bhramave,
Turat bhag Rajrappa aave.

Kare bhakti poorvak jab pooja,
Sukhi na ho uske sam dooja.

Ubhaya vipra ne kinha pranama,
Poorn bhae unke sab kama.

Padhe Chinnamasta Chalisa,
Ambahi nitya jhukavahi sisaa.

Ta par kripa matu ki hoyi,
Phir vah karai chahe man joi.

Main ati neech lalchi kami,
Nitya swartharath durjan naami.

Chhamahu Chinnamasta Jagadamba,
Karahu kripa mat karahu vilamba.

‘Vinay’ Deena arat suta jani,
Karahu kripa Jagadamba Bhavani.

|| Doha ||

Jayatu vajra vairochani,
Jaya Chandika prachanda,
Teen lok mein vyapt hai,
Teri jyoti akhand.

Chinnamastake Ambike,
Teri kirti apar,
Naman tume shatabaar hai,
Kar mera uddhar.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Maa Chhinnamastaka Chalisa PDF

Maa Chhinnamastaka Chalisa PDF

Leave a Comment