Sai Kasht Nivaran Mantra PDF English
Sai Baba ✦ Mantra (मंत्र संग्रह) ✦ English
Sai Kasht Nivaran Mantra English Lyrics
|| Sai Kasht Nivaran Mantra ||
Kashton ki kali chaya dukhdayi hai, Jeewan me ghor udasi layi hai
Sankat ko talo sai duhai hai, Tere siwa na koi sahayi hai
Mere man teri surat samai hai, Har pal har kshan mahima gayi hai
Ghar mere kashton ki aandhi aayi hai, Aapne kyun meri sudh bhulayi hai
Tum bholenaath ho daya nidhan ho, Tum hanuman ho maha balwan ho
Tumhi ram aur shyam ho, Saare jagat mein tum sabse mahan ho
Tumhi mahakali tumhi maa shaarde, Karta hoon prarthna bhav se taar de
Tumhi mohammad ho gareeb nawaz ho, Nanak ki vani mein isa ke saath ho
Tumhi digambar tumhi kabir ho, Ho budh tumhi aur mahaveer ho
Saare jagat ka tumhi aadhar ho, Niraakar bhi aur saakar ho
Karta hu vandana prem vishwas se, suno sai allah ke vaste
adharo pe mere nahi muskaan hai, Ghar mera banna laga shamshan hai
Reham nazar karo ujre viran pe, Zindagi sawaregi ek vardan se
Paapo ki dhoop se tan laga haarne, Aapka ye das laga pukaarne
Aapne sada hi laaj bachayi hai, Der na ho jaaye man shankayi hai
Dheere dheere dheeraj hi khota hai, Man me basa vishwas hi rota hai
Meri kalpana saakar kar do, Sooni zindagi me rang bhar do
Dhote dhote paapon ka bhaar zindagi se, Main gaya haar zindagi se
Naath avgun ab to bisaaro, Kashton ki lehar se aake ubaaro
Karta hu paap main paapo ki khan hu, Gyani tum gyaneshwar main agyan hu
Karta hu pag pag par paapo ki bhool main, Taar do jeewan charno ki dhool se
Tumne ujda hua ghar basaya, Paani se Deepak bhi tumne jalaya
Tumne hi shirdi ko dhaam banaya, Chhote se gaon mein swarg sajaya
Kasht paap shrap utaro, Prem daya drishti se nihaaro
Aapka daas hu aise naa taaliye, Girne laga hu sai sambhaliye
Sai ji balak main anaath hu, Tere bharose rehta din raat hu
Jaisa bhi hoon, hoon to aapka, Keeje nivaran mere santaap ka
Tu hai sawera aur main raat hoon, Mel nhi koi phir bhi saath hoon
Sai ji mujhse mukh naa modo, Beech majhdaar akela na chodo
Aapke charno mein base pran hain, Tere vachan mere guru saman hain
Aapki raah pe chalta daas hai, Khushi nhi koi jeewan udas hai
Aansoo ki dhaara mein doobta kinaara, Zindagi mein dard, nhi guzaara
Lagaya chaman to phool khilaao, Phool khile hai to khushboo bhi lao
Kar do ishara to baat ban jaye, Jo kismat me nhi wo mil jaaye
Beeta zamana ye gaake fasana, Sarhade zindagi maut tarana
Der to ho gayi hai andher na ho, Fikr mile lekin fareb na ho
Deke taalo ya daaman bacha lo, Hilne lagi rehnumayi sambhalo
Tere dam pe allah ki shaan hai, Sufi santon ka ye bayan hai
Gareebon ki jholi me bhar do khazana, Zamane ke wli na karo bahana
Dar ke bhikhari hain mohtaaj hain hum, Shehenshahe aalam karo kuch karam
Tere khazaane mein allah ki rehmat, Tum sadguru saiji ho samarth
Aaye ho dharti pe dene sahara, Karne lage kyun humse kinaara
Jab tak ye brahmand rahega, Sai tera naam rahega
Chaand sitare tumhe pukaarenge, Janmojanam hum rasta nihaarenge
Aatma badlegi chole hazar, Hum milte rahenge baarambar
Aapke kadmo mein baithe rahenge, Dukhde dil ke kehete rahenge
Aapki marzi hai do ya na do, Hum to kahenge daaman hi bhar do
Tum ho data hum hain bhikhaari, Sunte nhi kyun araz hamari
Achchha chalo ek baat bta do, Kya nhi tumhaare paas bta do
Jo nhi dena hai inkaar kar do, Khatam ye aapas ki takrar kar do
Laut k khali chala jaaunga, Phir bhi gun tere gaaunga
Jab tak kaaya hai tab tak maaya hai, Isi mein dukhon ka mool samaya hai
Sab kuch jaan ke anjaan hu main, Allah ki tu shaan teri shaan hu main
Tera karam sada sabpe rahega, Ye chakra yug yug chalta rahega
Jo prani gayega saiji tera naam, Usko mukti mile pahuche param dhaam
Ye mantra jo praani nit din gaayege, Raahu ketu shaani nikat na aayenge
Tal jaayenge sankat saare, Ghar mein vaas Karen sukh saare
Jo shraddha se karega pathan, Us par dev sabhi ho prasann
Rog samool nasht ho jayenge, Kasht nivaaran mantra jo gaayenge
Chinta harega nivaran jaap, Pal mein door ho sab paap
Jo ye pustak nit din baanche, Shri lakhmi ji ghar uske sada viraaje
Gyan buddhi praani wo paayega, Kasht nivaran mantra jo dhyayega
Ye mantra bhakto kamal karega, Aayi jo anhoni to taal dega
Bhoot prêt bhi rahenge door, Is mantra mein sai shakti bharpoor
Japte rahe jo mantra agar, Jaado tona bhi ho beasar
Is mantra mein sab gun samaye, Na ho bharosa to aazmaye
Ye mantra saiji vachan hi jaano, Swayam amal kar satya pehchaano
Sanshay na laana vishwas jagana, Ye mantr sukhon ka hai khazana
Join HinduNidhi WhatsApp Channel
Stay updated with the latest Hindu Text, updates, and exclusive content. Join our WhatsApp channel now!
Join NowSai Kasht Nivaran Mantra
READ
Sai Kasht Nivaran Mantra
on HinduNidhi Android App