|| Doha ||
Shish Nava Arihant Ko,
Siddhan Karun Pranam.
Upadhyaya Acharya Ka,
Le Sukhakari Naam.
Sarv Sadhu Aur Saraswati,
Jin Mandir Sukhkar.
Chandrapuri Ke Chandra Ko,
Man Mandir Mein Dhaar.
|| Chaupai ||
Jai-Jai Swami Shri Jin Chanda,
Tumko Nirakh Bhaye Ananda.
Tum Hi Prabhu Devan Ke Deva,
Karun Tumhare Pad Ki Seva.
Vesh Digambar Kahlata Hai,
Sab Jag Ke Man Bhata Hai.
NASA Par Hai Drishti Tumhari,
Mohni Moorti Kitni Pyari.
Teen Lok Ki Baatein Jano,
Teen Kaal Kshan Mein Pahchano.
Naam Tumhara Kitna Pyara,
Bhoot Pret Sab Karen Nivaara.
Tum Jag Mein Sarvagya Kaho,
Ashtam Tirthankar Kahlo.
Mahasen Jo Pita Tumhare,
Lakshmana Ke Dil Ke Pyare.
Taj Vaijant Vimaan Sidhaaye,
Lakshmana Ke Ur Mein Aaye.
Posh Vadi Ekadash Naami,
Janam Liya Chanda Prabhu Swami.
Muni Samantbhadra The Swami,
Unhe Bhasm Vyadhi Bimaari.
Vaishnav Dharm Jabhi Apnaya,
Apne Ko Pandit Kahaaya.
Kaha Raav Se Baat Bataun,
Mahadev Ko Bhog Khilaun.
Pratidin Uttam Bhojan Aave,
Unko Muni Chhipakar Khaave.
Isi Tarah Nij Rog Bhagaaya,
Ban Gayi Kanchan Jaisi Kaaya.
Ek Ladke Ne Pata Chalaya,
Phoron Raja Ko Bataaya.
Tab Raja Pharamaaya Muni Ji Ko,
Namaskaar Karo Shivpindi Ko.
Raja Se Tab Muni Ji Bole,
Namaskaar Pindi Nahin Jhele.
Raja Ne Zanjeer Mangaai,
Us Shivpindi Mein Bandhwaayi.
Muni Ne Swayambhu Paath Banaaya,
Pindi Fati Achambha Chaaya.
Chandraprabh Ki Moorti Dikhaayi,
Sab Ne Jai-Jaikaar Manaai.
Nagar Firozabad Kahaaye,
Paas Nagar Chandvaar Bataaye.
Chandrasen Raja Kahaalaya,
Us Par Dushman Chadhkar Aaya.
Raav Tumhari Stuti Gayi,
Sab Faujo Ko Maar Bhagaai.
Dushman Ko Maaloom Ho Jaave,
Nagar Gherne Fir Aa Jaave.
Pratima Jamna Mein Padhaayi,
Nagar Chhodkar Parja Dhaai.
Bahut Samay Hi Beeta Hai Ki,
Ek Yati Ko Sapna Dikha.
Bade Jatan Se Pratima Paayi,
Mandir Mein Laakar Padhaai.
Vaishnavon Ne Chaal Chalaayi,
Pratima Lakshmana Ki Bataayi.
Ab To Jaini Jan Ghabraayein,
Chandra Prabhu Ki Moorti Bataayein.
Chinh Chandrama Ka Bataaya,
Tab Swami Tumko Tha Paaya.
Sonaagiri Mein Sau Mandir Hain,
Ek Badhkar Ek Sundar Hain.
Samavasharan Tha Yahaan Par Aaya,
Chandra Prabhu Updesh Sunaaya.
Chandra Prabhu Ka Mandir Bhaari,
Jisko Pooje Sab Nar-Naari.
Saath Haath Ki Moorti Bataayi,
Laal Rang Pratima Bataayi.
Mandir Aur Bahut Bataayein,
Shobha Varanat Paar Na Paayein.
Paar Karo Meri Yeh Naiya,
Tum Bin Koi Nahin Khivaaya.
Prabhu Main Tumse Kuch Nahin Chaahun,
Bhav-Bhav Mein Darshan Paaun.
Main Hoon Swami Daas Tihaara,
Karo Naath Ab To Nistaara.
Swami Aap Daya Dikhlaao,
Chandradas Ko Chandr Banaao.
|| Sorath ||
Nit Chaalisahin Baar,
Paath Kare Chaalis Din.
Kheya Sugandh Apar,
Sonaagiri Mein Aayein Ke.
Hoye Kubera Saaman,
Janam Daridri Hoye Jo.
Jiske Nahin Santaan,
Naam Vansh Jag Mein Chalein.
Found a Mistake or Error? Report it Now