॥ Doha ॥
Maatu Lakshmi Kari Kripa
Hridaya Mein Vaas ।
Manokamna Siddha Kari
Paruvahu Meri Aas ॥
॥ Sortha ॥
Yahi Mor Ardas,
Hath Jod Vinati karun ।
Sab Vidhi Karau Suvas,
Jai Janani Jagadambika ।
॥ Chaupai ॥
Sindu Suta Main Sumirau Tohi ।
Gyan, Buddhi, Vidya Do Mohi ॥
Tum Samaan Nahi Koi Upkari ।
Sab Vidhi Puravahu Aas Hamari ॥
Jai Jai Jagat Janani Jagadamba ।
Sabaki Tum Hi Ho Avalamba ॥
Tum Hi Ho Sab Ghat Ghat Vaasi ।
Vinati Yahi Hamari Khaasi ॥
Jagajanani Jai Sindhu Kumari ।
Dinan ki Tum Ho Hitakari ॥
Vinavaun Nitya Tumahin Maharani ।
Kripa Karau Jaga Janani Bhavani ॥
Kehi Vidhi Stuti Karaun Tihari ।
Sudhi Lijai Aparadh Bisari ॥
Kripa Drishti Chitavavo Mam Ori ।
Jaga Janani Vinati Sun Mori ॥
Gyan Buddhi Jai Sukh Ki Data ।
Sankat Haro Hamari Mata ॥
Kshirasindhu Jab Vishnu Mathayo ।
Chaudah Ratna Sindhu Mein Payo ॥
Chaudah Ratna Mein Tum Sukharasi ।
Seva Kiyo Prabu Bani Dasi ॥
Jab Jab Janma Jahan Prabhu Linha ।
Roop Badal Tahan Seva Kinha ॥
Svayan Vishnu Jab Nar Tanu Dhara ।
Linheu Avadhapuri Avatara ॥
Tab Tum Pragat Janakapur Mahin ।
Seva Kiyo Hridaya Pulakahin ॥
Apanaya Tohi Antaryami ।
Vishva Vidit Tribhuvan Ki Swami ॥
Tum Sam Prabal Shakti Nahin Aani ।
Kahan Lau Mahima Kahaun Bakhani ॥
Man Kram Vachan Karai Sevakai ।
Man Ichchhita Vanchhit Phal Pai ॥
Taji Chhal Kapat Aur Chaturai ।
Pujahin Vividh Bhanti Man Lai ॥
Aur Haal Main Kahaun Bujhai ।
Jo Yah Paath Karai Man Lai ॥
Tako Koi Kashta Noi ।
Man Ichchhita Pavai Phal Soi ॥
Trahi Trahi Jai Dukh Nivarini ।
Trividh Taap Bhav Bandhan Harini ॥
Jo Chalisa Pade Padave ।
Dhyana Lagakar Sunai Sunavai ॥
Takau Koi Na Rog Satavai ।
Putra Aadi Dhan Sampatti Pavai ॥
Putrahin Aru Sampatti Hina ।
Andh Badhir Kodhi Ati Dina ॥
Vipra Bolaya Kai Paath Karavai ।
Shanka Dil Mein Kabhi Na Lavai ॥
Paath Karavai Din Chalisa ।
Ta Par Kripa Karain Gaurisa ॥
Sukh Sampatti Bahut Si Pavai ।
Kami Nahin Kaahu Ki Avai ॥
Barah Maas Karai Jo Puja ।
Tehi Sam Dhanya Aur Nahin Duja ॥
Pratidin Paath Karai Man Mahin ।
Un Sam Koi Jag Mein Kahun Naahin ॥
Bahuvidhi Kya Mai Karaun Badai ।
Leya Pariksha Dhyana Lagai ॥
Kari Vishvas Karai Vrat Nema ।
Hoy Siddha Upajai Ur Prema ॥
Jai Jai Jai Lakshmi Bhavani ।
Sab Mein Vyapita Ho Gun Khaani ॥
Tumharo Tej Prabal Jag Mahin ।
Tum Sam Kou Dayalu Kahun Naahin ॥
Mohi Anath Ki Sudhi Ab Lijai ।
Sankat Kaati Bhakti Mohi Dijai ॥
Bhul Chuk Kari Kshama Hamari ।
Darshan Dajai Dasha Nihari ॥
Bin Darshan Vyakul Adhikari ।
Tumahi Achhat Dukh Sahate Bhaari ॥
Nahin Mohin Gyan Buddhi Hai Tan Mein ।
Sab Janat Ho Apane Man Mein ॥
Roop Chaturbhuja Karake Dharan ।
Kashta Mor Ab Karahu Nivaran ॥
Kehi Prakar Main Karaun Badai ।
Gyan Buddhi Mohin Nahin Adhikai ॥
॥ Doha ॥
Trahi Trahi Dukh Harini,
Haro Vegi Sab Tras ।
Jayati Jayati Jai Lakshmi,
Karo Shatru Ko Naash ॥
Ramdas Dhari Dhyan Nit,
Vinay Karat Kar Jor ।
Maatu Lakshmi Daas Par,
Karahu Daya Ki Kor ॥
- hindiश्री लक्ष्मी चालीसा
- assameseশ্ৰী লক্ষ্মী চালীসা
- bengaliশ্রী লক্ষ্মী চালীসা
- gujaratiશ્રી લક્ષ્મી ચાલીસા
- odiaଶ୍ରୀ ଲକ୍ଷ୍ମୀ ଚାଲୀସା
- englishShri Mahalakshmi Chalisa
- hindiश्री महालक्ष्मी चालीसा
Found a Mistake or Error? Report it Now