Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Nainon mein basati chhavi,
Durga, Naina Maat।

Pratah kaal simran karu,
Hey jag ki vikhyaat।।

Sukh vaibhav sab
Aapke charano ka prataap।

Mamta apni dijiye,
Mai, balak karu jaap।।

।। Chaupai ।।

Namaskaar hain Naina Maata
Deen dukhi ki bhagya vidhaata।

Parvati ne ansh diya hai
Naina Devi naam kiya hai।

Dabi rahi thi pindi hokar
Charati gaayen vahaan khadi hokar।

Ek din Anasuya gau aayi
Piya doodh aur thi muskaai।

Naina ne dekhi shubh leela
Dar ke bhaga uncha teela।

Shaant kiya sapne mein jaakar
Mujhe pooja, Naina tu aakar।

Phool patra doodh se bhaj le
Prem bhavana se mujhe jap le।

Tera kul roshan kar doongi
Bhandaare tere bhar doongi।

Naina ne aajna ko maana
Shiv Shakti ka naam bakhana।

Brahman sang pooja karvayi
Diya phalit var, Ma Muskai।

Brahma, Vishnu, Shankar aaye
Bhavan aapke pushp chadhaye।

Poojan aaye sab nar nari
Ghaati bani Shivalik pyaari।

Jwala Maan se prem tihaara
Jyot se milta hai sahara।

Patton par jyoten hain aati
Tumhare bhavan hain chha jaati।

Jinse mitata hai andhiyara
Jagmag jagmag mandir saara।

Chintpurni tumhari bahna
Sada maanti hai jo kehna।

Mai Vaishno tumko japti
Sada aapke man mein basati।

Shubh parvat ko dhany kiya hai
Guru Govind Singh bhajan kiya hai।

Shakti ki talwar thamaai
Jisne haahakaar machaai।

Mugalo ko jisne lalkara
Guru ke man mein roop tihaara।

Anyay se aap ladaya
Sabko shakti di chhaaya।

Sava lakh ka havan karaya
Halwe chane ka bhog lagaya।

Guru Govind Singh kari aarti
Aakash Ganga punya vaarti।

Naangal dhaara daan tumhara
Shakti ka swaroop hai nyara।

Singh dwar ki shobha badhaye
Jo paapi ko door bhagaaye।

Chausath yogini naachen dwar
Baavan bhero hain matwaare।

Riddhi Siddhi chhanvar dulave
Langar veer aajna paave।

Pindi roop prasad chadhave
Nainon se shubh darshan paave।

Jai kara jab uncha lage
Bhav bhakti ka mann mein jaage।

Dhol dhamak bajaye shahnai
Damroo chhaye gaaye badhai।

Sawan mein sakhiyan sang jhulo
Ashtami ko khushiyan mein phulo।

Kanya roop mein darshan deti
Daan punya apnon se leti।

Tan man dhan tumko nyochhavar
Maangu kuch jholi phelaakar।

Mujhko maat vipad ne gheda
Moh maya ne daala phera।

Kaam krodh ki odhi chaadar
Baitha hoon naiyya ko doobokar।

Apnon ne mukh mod liya hai
Sada akela chhod diya hai।

Jeevan ki chhuti hai naiyya
Tum bin mera kaun khivaiya।

Charanamrit charanon ka paun
Nainon mein tumhare bas jaaun।

Tumse hi uddhaar hoga
Jeevan mein ujiyaara hoga।

Kalyug ki failey hai maya
Naam tihaara mann mein dhyaaya।

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Naina Devi Chalisa PDF

Shri Naina Devi Chalisa PDF

Leave a Comment