Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Shashwat teertharaj ka,
Hai yah shikhar vishal,
Bhakti bhav se main rachoon,
Chalisa nat bhaal.

Jin parameshthi siddh ka,
Man mein karke dhyan,
Karun shikhar sammed ka,
Shraddha se gun-gaan.

Katha shikhar Ji ki sada,
Sukh santosh pradaay,
Nitya niyam is path se,
Karm bandh kat jaaye.

Aaye tere dwar par,
Lekar mann mein aas,
Sharanagat ko sharan do,
Nat hai shakun-subhash.

|| Chaupaii ||

Jai sammed shikhar, jai girivar,
Pavan tera kan-kan prastar.
Muniyo ke tap se tum ujjwal,
Nat mastak hai devo ke dal.

Jinrajo ki pad raj pakar,
Mukti marg ki raah dikhakar.
Dhany huye tum sab ke hitkar,
Indra pranat shat shish jhukaakar.

Tum anadi ho, tum anant ho,
Tum diwali, tum basant ho.
Moksh marg darshane vaale,
Jeevan safal banane vaale.

Shwaas-shwaas mein bhajanavliyaan,
Veetrag bhavon ki kaliyaan.
Khil jaati hai tab byaar se,
Milta aatma sukh vichar se.

Nange pairo shuddh bhav se,
Vandan karte sabhi chhaav se.
Punyavaan paate hai darshan,
Chhute narak pashugati ke bandhan.

Swadhyaya se gyaan badhate,
Nij par hi pahchaan banate.
Dhyaan lagate karm nashaate,
Ve sab jan hi shiv pad paate.

Arihanto ke shubh vandan se,
Siddh prabhu ke gun-gayan se.
Ooche shikharo se anupraanit,
Kshetrapal se ho sammaanit.

Har yug mein chaubis tirthankar,
Dhyaan leen ho is parvat par.
Sabke sab ve moksh padhaare,
Agnit muni gan paar utaare.

Kaaldosh se vartaman mein,
Aatmleen kaiwaly gyaan mein.
Chaubisi ke bees jineshwar,
Mukt huye sammed shikhar par.

Indradev ke dwara chinhit,
Pad chhaapon se token shobhit.
Tap sthali hai dharm dhyan ki,
Sarita bahti aatma gyaan ki.

Tera sambal jab milta hai,
Har murjhaaya mann khilta hai.
Tonk tonk tirthankar gaatha,
Shraddha se jhuk jaata maatha.

Pratham tonk Gandhar swami ki,
Vyaakhya kar di jinvani ki.
Dharm bhav sanchar ho gaya,
Chintan se uddhar ho gaya.

Gyaan koot jin gyaan aparmeet,
Kunthunath tirthankar poojit.
Shraddha bhakti vivek pawan mein,
Mile shaanti har baar namn mein.

Mitkoot Naminath sharan mein,
Gunjit vaataavaran bhajan mein.
Natak koot jahan jan jaate,
Arahant ji pooje jaate.

Sambal koot sada abhinandit,
Mallinath jinwar hai vandit.
Moksh gaye shreyaansh jineshwar,
Sankul koot sada se manahar.

Suprabh koot se Shiv pad paakar,
Vandit pushpadant ji jinwar.
Mohan koot padm prabhu shobhit,
Hota jan jan ko mann mohit.

Aage poojya koot hai Nirjar,
Muni suvrat ji puje jahaan par.
Lalit koot Chanda prabhu poojate,
Sab jan poojan vandan karte.

Vidyutvar hai koot jahan par,
Pujte shri sheetal ji jinwar.
Koot swayambhu prabhu anant ki,
Vandan karte Jain sant bhi.

Dhaval koot par chinhit hai pag,
Sambhavnath ji ko pujhe sab jag.
Kar anand koot par vandan,
Abhinandan ji ka abhivandan.

Dharmanath ki koot sudatta,
Pujti hai jiski gunvatta.
Avichal koot pranat jan saare,
Sumatnath pad chinh pakhaare.

Shanti koot ki shaanti sanaatan,
Karte shantinath ka vandan.
Koot prabhash vaady bajte hai,
Jahaan supaaras ji pujte hai.

Koot suveer vimal pad vandan,
Jai jai kaara karte sab jan.
Ajitnath ki siddh koot hai,
Jinke prati shraddha atoot hai.

Swarna koot prabhu paaras poojate,
Jhanjhar ghante anahad bajte.
Pakshi tanmay bhajan gaan mein,
Taare gaate aasman mein.

Tum prithvi ke bhavyabhaal ho,
Teen lok mein bemaishaal ho.
Kat jaaye karma ke bandhan,
Shri Jineshwar ka karke pujan.

Hai! Sammed shikhar, balihari,
Main gaun jaymaal tihaari.
Apne aathon karm nashaakar,
Shiv pad paun sanyam dharkar.

Tumhare gun jahan gaata hai,
Aasman bhi jhuk jaata hai.
Hai yeh dhara tumhi se shobhit,
Tera kan-kan hai mann mohit.

Bhajan yahan jaati hai toli,
Jinvani ki boli, boli.
Tum kalyaan karte sab jag ka,
Avaagaman mite bhav bhav ka.

Naman shikhar ji ki garima ko,
Jin vaibhav ko, jin mahima ko.
Sant muni arihant jineshwar,
Gaye yahi se moksh marg par.

Bhakto ko sukh dene vaale,
Sab ki naav khinene vaale.
Mujhko bhi to raah dikhao,
Bhav saagar se paar lagaao.

Haare ko himmat dete ho,
Aahat ko raahat dete ho.
Bhule ko tum raah dikhate,
Sab kastom ko door bhagaate.

Kaam krodh mada ke dosh,
Lobh moh ke aanchal posh.
Mad hankaar shok se door karo,
Sansaar saagar se paar karo.

Tum sabko uddhar karte ho,
Har kisi ka saarathi bante ho.
Mujhko bhi raah dikhao,
Sansaar saagar paar karaao.

Hare ko bal dete ho,
Pareet ko dukh mehsoos karte ho.
Bhatak ko tum raah dikhao,
Sab kastom ko door bhagaao.

Jyon hi main karm doshon mein hoon,
Agyaan ke andheron mein hoon.
Sanskriti ki bhoomi paakar,
Satya gyaan ki jyoti dikhao.

Tumme hai tirthankaron ki shakti,
Tumme hai pavitr dharm sankalp.
Vaayu hai muniyon ki dharohar,
Jo girte hain unko uthao.

Main andhkaar ke andheron
Mein kho gaya hoon,
Sansaar saagar ke kinare
Ka intezar karta hoon.
Satya gyaan ki prakash
Mein daal do mujhe,
Meri mann ki sab chintaon
Ko door kar do.

Tumme hai tapasya ke
Muniyon ki shakti,
Har kshan hai vrat
Dharm mein lipt.

Shikhar Ji ke gun-gaan
Hamesha hota hai,
Mukti marg par sadaa
Aage badhate raho.

|| Doha ||

Shraddha bhakti bhaav se,
Jo bhi padhe yeh chalisa.
Sansaar saagar ko paar kare,
Karm bandhan se mukt ho jaaye.

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Sammed Shikhar Chalisa PDF

Shri Sammed Shikhar Chalisa PDF

Leave a Comment