|| Doha ||
Jay Tara Jagdamba Jay,
Jay Kripa Drishti Ki Khan.
Kripa Karo Sureshwari,
Moi Sharan Tihari Jaan.
|| Chaupai ||
Mata Tum Hi Jagat Ki Palan Haari,
Tum Hi Bhaktan Ki Bhayahari.
Tum Hi Aadishakti Kalika Mai,
Tum Hi Sant Janon Ki Sukhdaai.
Taran Tarla Tanvi Kahlati,
Nij Janon Ki Mangaldaata Kahlati.
Tara Taruna Ballari Tum Hi,
Teerarupatari Shyama Tanukshin Ho Tumhi.
Bama Khepa Ki Palan Kartri,
Maa Tum Hi Kahlati Ho Siddhi Daatri.
Mata Roop Tumhara Ati Pavan,
Bhaktan Ki Ho Tum Manbhavan.
Tumse Itar Nahi Kuch Dooja,
Tum Ho Sur-Nar Muni Jan Ki Bhupa.
Tum Hi Mata Naga Lok Mein Basati,
Jan-Jan Ki Vipada Haraati.
Tum Hi Mata Kahlati Pralayankari,
Sakal Trailokya Ki Bhayahari.
Maa Tumne Hi Shiv Pran Bachaye,
Tumhare Smaran Se Vish Paar Na Paaye.
Das Mahavidya Kram Mein Tum Aati,
Dvitiya Vidya Tum Kahlati.
Mata Tum Hi Saraswati Kahlati,
Tum Hi Ho Gyan Ki Adhisthatri.
Neel Saraswati Hai Naam Tiharo,
Chahu Lok Failo Jagmag Ujiyaro.
Shmashan Priya Shmashana Kahlati,
Ekjata Jagdamba Kahlati.
Mata Shiv Tumhari God Viraje,
Mundamala Gale Mein Ati Saje.
Bam Marg Poojan Tumko Ati Pyara,
Sharanagat Ki Tum Ho Sahara.
Veer Bhoomi Ki Mata Tum Vaasini,
Tum Hi Aghora Tum Hi Vilasini.
Tumhara Charit Jagat Adhara,
Tumse Hi Maa Chahun Dishi Ujiyara.
Tumhara Charit Sada Mai Gaavun,
Tumhi Maa Roop Mein Paaun.
Chinta Sagari Haro Mahataari,
Tumhara Aasra Jagat Mein Bhari.
Turiya Tarla Tevragamini Tum Hi,
Neelatara Ugraa Vishahari Bhi Tumhi.
Tum Para Paratpara Atita Kahlati,
Vedarambha Vedatara Kahlati.
Achintayamitaakara Gunatita,
Bamakhepa Rakshita Bamakhepa Poojita.
Aghorapoojita Netra Netrotpanna Tumhi,
Divya Divyagyaana Bhi Tumhi.
Sab Jan Mantra Roop Tumhi Maa Japahi,
Trin Strin Roop Ka Dhyan Sab Dharahi.
Mujh Par Maa Kripaal Ho Jao,
Apni Kripa Ka Amiy Jal Barsao.
Kali Putra Nishadin Tumhe Manaave,
Nishvasar Maa Tumko Dhyaave.
Khadag Khappar Tumhare Hast Viraje,
Khastaadasha Tumhari Kala Ati Saje.
Tumne Mata Agamya Charit Dikhlayo,
Akshobh Rishi Ko Maan Badhayo.
Mata Tara Mere Hriday Aaye Virajo,
Neel Saraswati Ban Sajo.
Tum Hi Bhakti Bhav Ki Amit Sarupa,
Akhil Brahmand Ki Bhupa.
Bin Tumhare Nahi Moksha Adhikaar,
Tumse Hai Maa Jagat Ka Beṅga Paar.
Aakar Maa Mohi Darshan Dikhaao,
Mam Jeevan Ko Safal Banaao.
Ramakant Hai Tumhari Sharan Mein,
Deejo Maa Mohi Jagah Charan Mein.
Jo Man Mandir Mein Tumahi Basaave,
Uska Koi Baal Na Baanka Kar Paave.
Tumhi Aadishakti Jagdisha,
Brahma Vishnu Shiv Sab Navaaye Sheesha.
Tum Hi Charachar Jagat Ki Palanahaari,
Tum Hi Pralay Kaal Mein Naashankari.
Jo Nar Pade Nirantar Tara Chalisa,
Binshram Hoi Siddh Saakhi Gaurisha.
Jo Nar-Sur Muni Aave Tumhare Dhaama,
Safal Hoyen Unke Sab Kaama.
Jay Jay Jay Maa Tara,
Deen Dukhiyon Ki Tum Ho Maatra Sahaara.
|| Doha ||
Nishadin Maa Tarini,
Tumhe Navaaun Maath.
He Jagadamba Deejo,
Moi Sada Tumhara Saath.
Found a Mistake or Error? Report it Now