Download HinduNidhi App
Share This

|| Doha ||

Pranvaau pratham guru charan,
Buddhi gyan gun khan.
Shri Ganesh Sharad Sahit,
Baso hrday mein aan.

Ajnani mati mand main,
Hain guru swami sujan.
Doshon se main bhara hua hoon,
Tum ho kripa nidhan.

|| Chaupai ||

Jai Narayan Jai Nikhileshwar,
Vishwa prasiddh akhil tantraeshwar.

Yantra-mantra vijnan ke gyata,
Bharat bhu ke prem prenata.

Jab jab hui dharam ki haani,
Siddhashram ne pathaye gyaani.

Sachchidanand guru ke pyaare,
Siddhashram se aap padhaare.

Uchchakoti ke rishi-muni svechha,
Oye karan dharam ki raksha.

Abki baar aapki baari,
Trahi trahi hai dhara pukari.

Marundhar prant Khirantiya grama,
Multan Chand pitaa kar naama.

Sheshshayi sapne mein aaye,
Mata ko darshan dikhlaaye.

Rupadevi matu ati dharmik,
Janma bhayo shubh ikkees taariq.

Janma divas tithi shubh saadhak ki,
Pooja karte araadhak ki.

Janma vritant sunaye naveena,
Mantra Narayan naam kari deena.

Naam Narayan bhav bhay haari,
Siddha yogi manav tan dhaari.

Rishivar brahma tatva se oorjit,
Aatma swaroop guru gorvavit.

Ek baar sang sakha bhavan mein,
Kari snan lage chintan mein.

Chintan karat samaadhi laagi,
Sudh-budh heen bhaye anuraagi.

Poorn kari sansaar ki reeti,
Shankar jaise bane grihasthi.

Adbhut sangam prabhu Maya ka,
Avalokan hai vidhi chhaya ka.

Yug-yug se bhav bandhan reeti,
Jaha Narayan vaahi Bhagwati.

Saansarik man huye ati glaani,
Tab Himalay gaman ki thhaani.

Atharah varsh Himalaya ghume,
Sarv siddhiya guru pag chhume.

Tyag atal Siddhashram aasan,
Karam bhoomi aaye Narayan.

Dhara gagan Brahman mein goonjee,
Jai Gurudev sadhana poonjee.

Sarv dharma-hit Shivir purodha,
Karmakshetra ke atulit yodha.

Hriday vishaal shastra bhandara,
Bharat ka bhautik ujiyaara.

Ek sau chappan granth rachayita,
Sidhi sadhak vishwa vijeta.

Priya lekhak priya goonh pravakta,
Bhut-bhavishya ke aap vidhata.

Ayurved jyotish ke saagar,
Shodash kala yukt parmeshwar.

Ratan paarkhi vigna harta,
Sanyaasi ananyatam santa.

Adbhut chamatkar dikhaya,
Parad ka Shivling banaya.

Ved puran shastra sab gaate,
Pareshwar durlabh kahlaate.

Pooja kar nit dhyaan lagaave,
Wo nar Siddhashram mein jaave.

Charo ved kanth mein dhaare,
Poojniya jan-jan ke pyaare.

Chintan karat mantra jab gaaye,
Vishwamitra Vashishth bulaye.

Mantra Namo Narayan saancha,
Dhyaanat bhagat bhoot-pishaacha.

Pratah kal karahi nikhilaayan,
Man prasann nit tejswi tan.

Nirmal man se jo bhi dhyaave,
Riddhi siddhi sukh-sampati paave.

Path karahi nit jo chaali sa,
Shaanti pradaan karahi yogisa.

Ashtottar shat paath karat jo,
Sarv siddhiya paavat jan so.

Shri Guru charan ki dhaara,
Siddhashram sadhak parivaara.

Jay-jay-jay aanand ke swami,
Baarambaar namaami namaami.

|| Iti Shri Brihaspati Dev Chalisa ||

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Brihaspati Dev Chalisa PDF

Shri Brihaspati Dev Chalisa PDF

Leave a Comment