॥ Aarti ॥
Aarti Bharat Mata Ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Sir par him girivar sohe,
Charan ko ratnakar dhoye,
Devata godi mein soye,
Rahe anand, hue na dwand,
Samarpit chand,
Bolo jai buddhipradata ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Aarti Bharat Mata Ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Jagat mein lagti hai nyari,
Bani hai iski chhavi nyari,
Ki duniya dekh jale saari,
Dekhkar jhalak,
Jhuki hai palak, badi hai lalak,
Kripa barse jahan data ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Aarti Bharat Mata Ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
God Ganga Yamuna lahre,
Bhagwa fahar fahar fahre,
Lage hain ghav bahut gehre,
Huye hain khand, karenge akhand,
Dekar dand maut pardeshi data ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Aarti Bharat Mata Ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Pale jahan Raghu kul bhushan Ram,
Bajaye bansi jahan GhanShyam,
Jahan ka kan kan teerth dham,
Bade har dharm, saath shubh karm,
Ladhe besharm bani Shri Ram data ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Aarti Bharat Mata Ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Bade Hindu ka swabhimaan,
Kiya Keshav ne jeevan daan,
Badaaya Madhav ne bhi maan,
Chalenge saath,
Haath mein haath, uthakar maath,
Shapath Gita gaumata ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Aarti Bharat Mata Ki,
Jagat ke bhagya vidhata ki ॥
Found a Mistake or Error? Report it Now