Shri Gyan Chalisa PDF English
Misc ✦ Chalisa (चालीसा संग्रह) ✦ English
Shri Gyan Chalisa English Lyrics
|| Chalisa ||
Paani peeve chaan kar,
Jeev jantu bach jaaye!
Jeev daya ati punya hain,
Rog nikat nahi aaye!!
Jhoothe purusho se kabhi,
Koi na karta preet!
Sachche aadar paate hain,
Jag jas lete jeet!!
Chor nitya chori kare,
Rahe na kuch bhi paas!
Vano pahado bhagate,
Dukh paave din raat!!
Sey paraai naar ko,
Tan man dhan ko khot!
Phir bhi sukh mila nahi,
Maut bhayanak lete!!
Jod jod sanchar kare,
Parigrah aparaampar!
Kitne din hai jeevana,
Kyun nit dhote bhaar!!
Kutumb moh ka jaal hai,
Koi na jaave saath!
Bhala bura jo kar gaya,
Bani rahegi gaath!!
Beedi madira peevana,
Nahi bhalo ka kaam!
Bhang adi ki lat buri,
Kyun hote badnaam!!
Rogi tan ko theek kar,
Brahmacharya ko paal!
Bin paison ki yeh dava,
Door bhagave kaal!!
Mara kaun sab poochhte,
Pooch bhulaate baat!
Chaal chook shatranj ki,
Ho jaati hai maat!!
Sukh dukh nit hi dekhte,
Kyun na lagaave dhyan!
Chinta ko ab chhodkar,
Dharo samyak gyan!!
Kitne din ka jeevana,
Kitne din ki chaah!
Gyaani likha soch le,
Maulik jeevan jaan!!
Upar se dharmi bane,
Bheetar shuddh na ek!
Raat divas it ut phire,
Kis vidhi rahti tek!!
Karaj ko karte chalo,
Tan man vash mein raakh!
Hogi nishchay hi vijay,
Vipada aave laakh!!
Paap aneko hi kiye,
Mukti kis vidhi hoye!
Chhutenge janjaal sab,
Paap mail sab dhoye!!
Jhoothe swaarth ko chhodkar,
Sat ko ur mein dhaar!
Is bhav mein shobha badhe,
Aage beda paar!!
Pahle nij ho shuddh kar,
Peeche par upadesh!
Jo kahte karte nahi,
Ve paate hain klesh!!
Bheetar deh ghinavani,
Rogon ka hai dhaam!
Jab tak pardaa theek hai,
Karle apna kaam!!
Dekh budhape ki dasha,
Thar thar kaampe gaan!
Bure bure din beetate,
Koi na sunta baat!!
Pata kisi ko na pade,
Kab aayega kaal!
Kyun maya mein uljhta,
Hai makdi ka jaal!!
Kyun aaya kya kar gaya,
Gyaani pooche baat!
Lekha kaise deyaga,
Kya le jaata haath!!
Paapi tu tir jaayega,
Nishchay hi yeh maan!
Peeche ki mat yaad kar,
Aage ko pahchaan!!
Aaye vo sab jaayenge,
Jag ki yeh hai reet!
Thode swaarth ke liye,
Kyun gaata hai geet!!
Chahe jitna ho bhala,
Sukh dukh ka nahi mel!
Kab dukh kab sukh aa pade,
Dekh jagat ka khel!!
Rog nahi hai chhodata,
Paapi ho ya sant!
Isse bachne ke liye,
Pakdo aatm kant!!
Ghoom raha sansaar mein,
Kar kar ulti baat!
Ab bhi chetan soch le,
Taj pudgal ka taat!!
Vrishshala din teen ki,
Naye musafir aat!
Tu kab tak rah paayega,
Soch gyan ki baat!!
Naam jagat mein karan ko,
Rupaye kharche laakh!
Sachchi seva ke bina,
Jam na sakegi saakh!!
Murkh! Jawani jor mein,
Kiye paap bhughor!
Ab bhi chetan chet ja,
Vishay dharm ke chor!!
Beeti taahi visaar de,
Aage ki sudh le!
Pyala vish ka chhodkar,
Aatm amrit sai!!
Jeena marna ek sa,
Manushya janm ko paaye!
Aakar kuch bhi na kiya,
Jhootha rudan machaaye!!
Gandhak mein para mila,
Tape prithak ho jaaye!
Isi tarah yeh aatma,
Tan jad se hat jaaye!!
Krodh, kashaay hain bura,
Samjho isko aap!
Minutes mein jhat maar ta,
Gine na maan ya baap!!
Shastra aneko hi sune,
Diya na asli dhyaan!
Pothi padh padh rahe gaye,
Ur mein hua na gyan!!
Nyaare nyaare panth yeh,
Hat ki karte baat!
Sat koi na khojta,
Maarg kaise paat!!
Ahamkaar ke kaarne,
Ladte din va raat!
Ghar ko narak bana diya,
Tadpi chhuti na baat!!
Lakshmi chanchal hai ati,
Sada na rahti saath!
Daan na kodi kar saka,
Jaata khali haath!!
Seva jananee janak ki,
Teerath hai ghar maahi!
Kyun jag mein khojat phire,
Kalp taru ki chhaanh!!
Puny cheeze kuch aur hain,
Dharm moksh kuch aur!
Puny jagat ka khel hai,
Dharm moksh ki thor!!
Honhee hai so hoyegi,
Man mein dheeraj dhaar!
Jhootha shakun vicharta,
Kya paavega paar!!
Dukh se bachne ke liye,
Chhodo par ki aas!
Aatm bal sabse bada,
Sada tumhare paas!!
Join HinduNidhi WhatsApp Channel
Stay updated with the latest Hindu Text, updates, and exclusive content. Join our WhatsApp channel now!
Join NowShri Gyan Chalisa
READ
Shri Gyan Chalisa
on HinduNidhi Android App