Download HinduNidhi App
Share This

|| Aarti ||

Mahalakshmi Namastubhyam,
Namastubhyam Sureshvari ।
Hari Priye Namastubhyam,
Namastubhyam Dayanidhe ॥

Padmalaye Namastubhyam,
Namastubhyam Cha Sarvade ।
Sarvbhoot Hitarthay,
Vasu Srashtin Sada Kurum ॥

Om Jai Lakshmi Mata,
Maiya Jai Lakshmi Mata ।
Tumako Nishidin Sevat,
Hari Vishnu Vidhata ॥

Uma Rama Brahmani,
Tum Hi Jag-Mata ।
Surya Chandrama Dhyavat,
Narad Rishi Gata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Durga Roop Niranjani,
Sukh Sampatti Data ।
Jo Koi Tumako Dhyavat,
Riddhi-Siddhi Dhan Pata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Tum Patal-Nivasini,
Tum Hi Shubhdata ।
Karma-Prabhav-Prakashini,
Bhavanidhi Ki Trata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Jis Ghar Mein Tum Rahti,
Sab Sadgun Aata ।
Sab Sambhav Ho Jata,
Man Nahi Ghabrata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Tum Bin Yagya Na Hote,
Vastra Na Koi Pata ।
Khan-Pan Ka Vaibhav,
Sab Tumase Aata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Shubh-Gun Mandir Sundar,
Kshirodadhi Jata ।
Ratna Chaturdash Tum Bin,
Koi Nahi Pata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Mahalakshmi Ji Ki Aarti,
Jo Koi Jan Gata ।
Ur Anand Samata,
Paap Utar Jata ॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata…॥

Om Jai Lakshmi Mata,
Maiya Jai Lakshmi Mata ।
Tumako Nishidin Sevat,
Hari Vishnu Vidhata ॥

Read in More Languages:

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Lakshmi Ji Ki Aarti PDF

Download Shri Lakshmi Ji Ki Aarti PDF

Shri Lakshmi Ji Ki Aarti PDF

Leave a Comment