Download HinduNidhi App
Share This

|| Chaupaii ||

Pehle Sai Ke Charno Mein, Apna Sheesh Nivauo Maiy,
Kaise Shirdi Sai Aaye, Saara Haal Sunau Maiy ||

Kaun Hai Mata, Pita Kaun Hai, Yeh Na Kisi Ne Bhi Jaana,
Kaha Janam Sai Ne Dhara, Prashan Paheli Raha Bana ||

Koee Kahe Ayodhya Ke, Yeh Ramchandra Bhagvan Hain,
Koee Kehta Saibaba, Pavan Putra Hanuman Hain ||

Koee Kehta Mangal Murti, Shri Gajanan Hain Sai,
Koee Kehta Gokul-mohan Devki Nandan Hain Sai ||

Shanker Samajh Bhakt Kaee To, Baba Ko Bhajhte Rahte,
Koee Kahe Avtar Datt Ka, Pooja Sai Ki Karte ||

Kuch Bhi Mano Unko Tum, Pur Sai Hain Sachche Bhagvan,
Bade Dayalu Deen-bandhu, Kitno Ko Diya Jivan-daan ||

Kaee Varsh Pehle Ki Ghatna, Tumhe Sunaunga Mein Baat,
Keesy Bhagyashaali Ki Shirdi Mein Aaee Thi Barat ||

Aaya Saath Usi Ke Tha, Baalak Aik Bahut Sunder,
Aaya Aaker Vahin Bus Gaya, Paavan Shirdi Kiya Nagar ||

Kaee Dino Tak Raha Bhatakta, Bhiksha Maangi Usne Dar Dar,
Aur Dikhaee Aisee Leela, Jug Mein Jo Ho Gaee Amar ||

Jaise-jaise Umar Badi, Badti Hee Vaisy Gaee Shaan,
Ghar Ghar Hone Laga Nagar Mein, Sai Baba Kaa Gungaan ||

Digdigant Mein Laga Goonjane, Phir To Saiji Ka Naam,
Deen-dhukhi Ki Raksha Karna, Yahi Raha Baba Ka Kaam ||

Baba Ke Charno Mein Ja Kar, Jo Kehta Mein Hoo Nirdhan,
Daya Usee Par Hoti Unkee, Khul Jaate Dhukh Ke Bandhan ||

Kabhi Kisee Ne Maangi Bhiksha, Do Baba Mujhko Suntaan,
Aivom Astoo Tub Kaihkar Sai De Te Thay Usko Vardaan ||

Swayam Dhukhi Baba Ho Jaate, Deen-dukhijan Ka Lukh Haal,
Anteh: Karan Bhi Sai Ka, Sagar Jaisa Raha Vishal ||

Bhakt Ek Madrasi Aaya, Ghar Ka Bahut Bada Dhanvaan,
Maal Khajana Behadh Uskaa, Keval Nahi Rahi Suntaan ||

Laga Manane Sainath Ko, Baba Mujh Per Daya Karo,
Junjha Se Junkrit Naiya Ko, Tum Hee Mairee Par Karo ||

Kuldeepak Ke Bina Andhera, Chchaya Hua Ghar Mein Mere,
Isee Liye Aaya Hoon Baba, Hokar Sharnagat Tere ||

Kuldeepak Ke Abhav Mein, Vyarth Hai Daulat Ki Maya,
Aaj Bhikhari Ban Kar Baba, Sharan Tumhari Mein Aaya, ||

De De Mujhko Putra-daan, Mein Rini Rahoonga Jivan Bhar,
Aur Kisi Ki Aas Na Mujko, Siraf Bharosa Hai Tum Per ||

Anunaye-vinaye Bahut Ki Usne, Charano Mein Dhar Ke Sheesh,
Tub Prasana Hokar Baba Ne, Diya Bhakta Ko Yeh Aashish ||

‘Allah Bhala Karega Tera,’ Putra Janam Ho Tere Ghar,
Kripa Rahegi Tum Per Uski, Aur Tere Uss Balak Per ||

Ab Tak Nahi Kisi Ne Paya, Sai Ki Kripa Ka Paar,
Putra Ratan De Madrasi Ko, Dhanya Kiya Uska Sansaar ||

Tan-man Se Jo Bhaje Usi Ka Jug Mein Hota Hai Uddhar,
Sanch Ko Aanch Nahi Haiy Koee, Sada Jooth Ki Hoti Haar ||

Mein Hoon Sada Sahare Uske, Sada Rahoonga Uska Daas,
Sai Jaisa Prabhu Mila Haiy, Itni Ki Kum Haiy Kya Aas ||

Mera Bhi Din Tha Ik Aisa, Milti Nahi Mujhe Thi Roti,
Tan Per Kapda Duur Raha Tha, Sheish Rahi Nanhi Si Langoti, ||

Sarita Sammukh Hone Per Bhi Mein Pyasa Ka Pyasa Tha,
Durdin Mera Mere Ooper, Davagani Barsata Tha ||

Dharti Ke Atirikt Jagat Mein, Mera Kuch Avalumbh Na Tha,
Bana Bhikhari Maiy Duniya Mein, Dar Dar Thokar Khata Tha ||

Aise Mein Ik Mitra Mila Jo, Param Bhakt Sai Ka Tha,
Janjalon Se Mukt, Magar Iss, Jagti Mein Veh Bhi Mujh Sa Tha ||

Baba Ke Darshan Ke Khatir, Mil Dono Ne Kiya Vichaar,
Sai Jaise Daya Murti Ke Darshan Ko Ho Gaiye Taiyar ||

Paavan Shirdi Nagari Mein Ja Kar, Dhekhi Matvaali Murti,
Dhanya Janam Ho Gaya Ki Humne Jab Dhekhi Sai Ki Surti ||

Jabse Kiye Hai Darshan Humne, Dukh Sara Kaphur Ho Gaya,
Sankat Saare Mite Aur Vipdaon Ka Ant Ho Gaya ||

Maan Aur Sammaan Mila, Bhiksha Mein Humko Baba Se,
Prati Bambit Ho Uthe Jagat Mein, Hum Sai Ki Abha Se ||

Baba Ne Sammaan Diya Haiy, Maan Diya Is Jivan Mein,
Iska Hee Sambal Le Mein, Hasta Jaunga Jivan Mein ||

Sai Ki Leela Ka Mere, Mun Par Aisa Assar Hua,
Lagta, Jagti Ke Kan-kan Mein, Jaise Ho Veh Bhara Hua ||

‘Kashiram’ Baba Ka Bhakt, Iss Shirdi Mein Rehta Tha,
Maiy Sai Ka Sai Mera, Veh Duniya Se Kehta Tha ||

Seekar Svayam Vastra Bechta, Gram Nagar Bazaro Mein,
Jhankrit Uski Hridh-tantri Thi, Sai Ki Jhankaron Se ||

Stabdh Nisha Thi, Thay Soye, Rajni Aanchal Me Chand Sitare,
Nahi Soojhta Raha Hath Ka, Hath Timiri Ke Mare ||

Vastra Bech Kar Lote Raha Tha, Hai! Haath Se ‘Kaashi’,
Vichitr Bada Sanyoga Ki Uss Din Aata Tha Veh Akaki ||

Gher Raah Mein Khare Ho Gaye, Usse Kutil, Anyaayi,
Maaro Kaato Looto Iski, Hee Dhvani Pari Sunaee ||

Loot Peet Kar Usse Vahan Se, Kutil Gaye Champat Ho,
Aaghaton Se Marmahat Ho, Usne Di Thi Sangya Kho ||

Bahut Der Tak Para Raha Veh, Vahin Usi Halat Mein,
Jaane Kab Kuch Hosh Ho Utha, Usko Kisi Palak Mein ||

Anjane Hee Uske Muh Se, Nikal Para Tha Sai,
Jiski Prati Dhvani Shirdi Mein, Baba Ko Parri Sunai ||

Shubdh Utha Ho Manas Unka, Baba Gaye Vikal Ho,
Lagta Jaise Ghatna Sari, Ghati Unhi Ke Sunmukh Ho ||

Unmadi Se Idhar Udhar Tab, Baba Lage Bhatakne,
Sunmukh Chizein Jo Bhi Aiee, Unkoo Lage Patkne ||

Aur Dhadhakte Angaro Mein, Baba Ne Kar Dala,
Huye Sashankit Sabhi Vaha, Lakh Tandav Nritya Nirala ||

Samajh Gaye Sab Log Ki Koi, Bhakt Para Sankat Mein,
Shubit Khare Thai Sabhi Vaha Par, Pare Huye Vismaiye Mein ||

Usse Bachane Ke Hi Khatir, Baba Aaj Vikal Hai,
Uski Hi Piraa Se Pirit, Unka Ant Sthal Hai ||

Itne Me Hi Vidhi Ne Apni, Vichitrata Dhikhlayi,
Lukh Kar Jisko Janta Ko, Shradha Sarita Lehrayee ||

Lekar Sanghya Heen Bhakt Ko, Gaari Ek Vaha Aayee,
Sunmukh Apne Dekh Bhakt Ko, Sai Ki Aankhe Bhar Aayee ||

Shant, Dheer, Gambhir Sindhu Sa, Baba Ka Anthsthal,
Aaj Na Jane Kyon Reh-rehkar, Ho Jaata Tha Chanchal ||

Aaj Daya Ki Murti Svayum Tha Bana Hua Upchaari,
Aur Bhakt Ke Liye Aaj Tha, Dev Bana Prati Haari ||

Aaj Bhakti Ki Vishum Pariksha Mein, Safal Hua Tha Kaashi,
Uske Hee Darshan Ki Khatir, Thai Umre Nagar-nivasi ||

Jab Bhi Aur Jahan Bhi Koyee, Bhakt Pare Sankat Mein,
Uski Raksha Karne Baba Jate Hai Pulbhur Mein ||

Yug Yug Ka Hai Satya Yeh, Nahi Koi Nayee Kahani,
Aapat Grast Bhakt Jab Hota, Jate Khudh Antar Yami ||

Bhedh Bhaav Se Pare Pujari Manavta Ke Thai Sai,
Jitne Pyare Hindu-muslim Uutne Hi Sikh Isai ||

Bhed Bhaav Mandir Masjid Ka Tor Phor Baba Ne Dala,
Ram Rahim Sabhi Unke Thai, Krishan Karim Allah Tala ||

Ghante Ki Pratidhvani Se Gunja, Masjid Ka Kona Kona,
Mile Paraspar Hindu Muslim, Pyar Bada Din Din Doona ||

Chamatkar Tha Kitna Sundar, Parichaye Iss Kaya Ne Dee,
Aur Neem Karvahat Mein Bhi Mithaas Baba Ne Bhar Dee ||

Sabko Sneha Diya Sai Ne, Sabko Suntul Pyar Kiya,
Jo Kuch Jisne Bhi Chaha, Baba Ne Usko Vahi Diya ||

Aise Snehsheel Bhajan Ka, Naam Sada Jo Japa Kare,
Parvat Jaisa Dhukh Na Kyoon Ho, Palbhar Mein Veh Door Tare ||

Sai Jaisa Daata Humne, Aare Nahi Dekha Koi,
Jiske Keval Darshan Se Hee, Saari Vipda Door Gayee ||

Tan Mein Sai, Man Mein Sai, Sai Bhajha Karo,
Apne Tan Ki Sudh Budh Khokur, Sudh Uski Tum Kiya Karo ||

Jab Tu Apni Sudh Tajkur, Baba Ki Sudh Kiya Karega,
Aur Raat Din Baba, Baba, Baba Hi Tu Rata Karega ||

To Baba Ko Aare! Vivash Ho, Sudh Teri Leni Hee Hogi,
Teri Har Icha Baba Ko, Puree Hee Karni Hogi ||

Jungal Jungal Bhatak Na Pagal, Aur Dhundne Baba Ko,
Ek Jagah Keval Shirdi Mein, Tu Paiga Baba Ko ||

Dhanya Jagat Mein Prani Hai Veh, Jisne Baba Ko Paya,
Dukh Mein Sukh Mein Prahar Aath Ho, Sai Ka Hee Gune Gaya ||

Gire Sankat Ke Parvat, Chahe Bijli Hi Toot Pare,
Sai Ka Le Naam Sada Tum, Sunmukh Sub Ke Raho Arre ||

Iss Budhe Ki Sunn Karamat, Tum Ho Jaoge Hairaan,
Dang Reh Sunkar Jisko, Jane Kitne Chatur Sujaan ||

Ek Baar Shirdi Mein Sadhu Dhongi Tha Koi Aaya,
Bholi Bhali Nagar Nivasi Janta Ko Tha Bharmaya ||

Jari, Butiyan Unhe Dhikha Kar, Karne Laga Vaha Bhashan,
Kehne Laga Sunno Shrotagan, Ghar Mera Hai Vrindavan ||

Aushadhi Mere Paas Ek Hai, Aur Ajab Iss Mein Shakti,Sai Tu Hi Tu Jagriti Mision
Iske Sevan Karne Se Hi, Ho Jaati Dukh Se Mukti ||

Aggar Mukta Hona Chaho Tum, Sankat Se Bimari Se,
To Hai Mera Numra Nivaidan, Har Nar Se Har Nari Se, ||

Lo Kharid Tum Isko, Sevan Vidhiyan Hai Nyari,
Yadyapi Tuch Vastu Hai Yeh, Gun Uske Hai Atisheh Bhari ||

Jo Hai Suntaan Heen Yeh Yadi, Meri Aushdhi Ko Khaye,
Putra Ratan Ho Parapat, Aare Aur Veh Mooh Manga Phal Paye ||

Aushadh Meri Jo Na Kharide, Jeevan Bhar Pachtayega,
Mujh Jaisa Prani Shayad Hi, Aare Yaha Aa Payega ||

Duniya Do Din Ka Mela Hai, Mauj Shaunk Tum Bhi Kar Lo,
Gar Is Se Milta Hai, Sub Kuch, Tum Bhi Isko Le Lo ||

Hairani Barti Janta Ki, Lakh Iski Kaarastaani,
Pramudit Veh Bhi Man Hi Man Tha, Lakh Logo Ki Nadani ||

Khabar Suna Ne Baba Ko Yeh, Gaya Daud Kar Sevak Ek,
Sun Kar Bhukuti Tani Aur, Vismaran Ho Gaya Sabhi Vivek ||

Hukum Diya Sevak Ko, Satvar Pakar Dusht Ko Lao
Ya Shirdi Ki Seema Se, Kapti Ko Duur Bhagao ||

Mere Rehte Bholi Bhali, Shirdi Ki Janta Ko
Kaun Neech Aisa Jo, Sahas Karta Hai Chalne Ko ||

Pulbhur Mai Hi Aise Dhongi, Kapti Neech Lootere Ko,
Maha Naash Ke Maha Gart Mein, Phahuncha Doon Jivan Bhar Ko ||

Tanik Mila Aabhaas Madari, Krur Kutil Anyayi Ko,
Kaal Nachta Hai Ab Sir Par, Gussa Aaya Sai Ko ||

Pal Bhar Mein Sab Khel Bandh Kar, Bhaga Sir Par Rakh Kar Pairr,
Socha Tha Sabh Hi Ab, Bhagvan Nahi Hai Ab Khair ||

Such Hai Sai Jaisa Daani, Mil Na Sakega Jag Mein,
Ansh Iish Ka Sai Baba, Unhe Na Kuch Bhi Mushkil Jag Mein ||

Sneh, Sheel, Sojanya, Aadi Ka Abhushan Dharan Kar,
Badta Iss Duniya Mein Jo Bhi, Manav Sevaye Path Par ||

Vahi Jeet Leta Hai Jagti, Ke Jan Jan Ka Anthsthal,
Uski Ek Udasi Hi Jag Ko Kar Deti Hai Vrihal ||

Jab Jab Jug Mein Bhar Paap Ka Bar Bar Ho Jaata Hai,
Usse Mita Ne Ke Hi Khatir, Avtari Ho Aata Hai ||

Paap Aur Anyaya Sabhi Kuch, Iss Jagti Ka Har Ke,
Duur Bhaga Deta Duniya Ke Danav Ko Shan Bhar Mein ||

Sneh Sudha Ki Dhar Barasne, Lagti Hai Duniya Mein,
Gale Paraspar Milne Lagte, Jan Jan Hai Aapas Mein ||

Aisse Hee Avtari Sai, Mrityulok Mein Aakar,
Samta Ka Yeh Paath Paraya, Sabko Apna Aap Mitakar ||

Naam Dwarka Masjid Ka , Rakha Shirdi Ne,
Haap Taap, Suntaap Mitaya, Jo Kuch Aaya Sai Ne ||

Sada Yaad Mein Mast Ram Ki, Baithe Rehte Thai Sai,
Peher Aath Hee Naam Ram Ka, Bhajte Rehte Thai Sai ||

Sookhee Rookhee Tazi Baasi, Chahe Ya Hovai Pakvaan,
Sada Pyar Ke Bhooke Sai Ke, Khatir Thai Sabhi Samaan ||

Sneh Aur Shradha Se Apni, Jan Jo Kuch De Jaate Thay,
Bade Chaav Se Uss Bhojan Ko, Baba Paavan Karte Thay ||

Kabhi Kabhi Man Behlane Ko, Baba Baag Mein Jate Thay,
Pramudit Man Nirukh Prakrati, Chatta Ko Veh Hote Thay ||

Rang-birange Pushp Baag Ke Manam Manam Hil Dul Karke,
Beehar Birane Man Mein Bhi Sneh Salil Bhar Jate Thai ||

Aise Su-madhur Bela Mein Bhi, Dukh Aafat Bipda Kai Maare,
Apne Man Ki Vyatha Sunane, Jan Rehte Baba Ko Ghere ||

Sunkar Jinki Karun Katha Ko, Nayan Kamal Bhar Aate Thay,
De Vibhuti Har Vyatha, Shanti, Unke Uur Mein Bhar Dete Thay ||

Jaane Kya Adhbut, Shakti, Uuss Vibhuti Mein Hoti Thi,
Jo Dharan Karke Mastak Par, Dukh Saara Har Leti Thi ||

Dhanya Manuj Veh Sakshaat Darshan, Jo Baba Sai Ke Paye,
Dhanya Kamal Kar Unke Jinse, Charan Kamal Veh Parsai ||

Kaash Nirbhaiy Tumko Bhi, Saakshat Sai Mil Jaata,
Varshon Se Ujra Chaman Apna, Phir Se Aaj Khil-jata ||

Gar Pakar Mein Charan Shri Ke, Nahi Chorta Umar Bhar,
Mana Leta Mein Jaroor Unko Gar Rooth Te Sai Mujh Par!! ||

Read in More Languages:

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Sai Chalisa PDF

Download Shri Sai Chalisa PDF

Shri Sai Chalisa PDF

Leave a Comment