|| Doha ||
Koti koti namana mere mata pita ko,
Jisne diya sharir
Balihaari jaaun Guru Dev ne,
Diya Hari bhajan mein seer ||
|| Chaupai ||
Jai Jai Jag Maata Brahmani,
Bhakti Mukti Vishwa Kalyani ||
Veena Pustak Kar Mein Sohe,
Sharada Sab Jag Sohe ||
Hans Vahini Jai Jag Mata,
Bhakt Janan Ki Ho Sukh Data ||
Brahmani Brahma Lok Se Aayi,
Maat Lok Ki Karo Sahai ||
Ksheer Sindhu Mein Prakati Jabbhi,
Devo Ne Jay Boli Tabbhi ||
Chaturdasha Ratano Mein Maani,
Adbhut Maya Ved Bakhaani ||
Char Ved Shat Shastron Ki Gaatha,
Shiv Brahma Koi Paar Na Paata ||
Aadi Shakti Avatar Bhavani,
Bhakt Janon Ki Maan Kalyani ||
Jab-Jab Paap Badhe Ati Bhaare,
Mata Shastra Kar Mein Dhaare ||
Paap Vinashini Tu Jagadamba,
Dharm Hetu Na Kari Vilamba ||
Namo Namo Brahmi Sukhakari,
Brahma Vishnu Shiv Tohe Maani ||
Teri Leela Ajab Nirali,
Sahay Karo Maa Pallu Wali ||
Dukh Chinta Sab Baadha Harani,
Amangal Mein Mangal Karani ||
Ann Poorna Ho Ann Ki Daata,
Sab Jag Palan Karti Maa ||
Sarva Vyapini Asankhya Roopa,
To Kripa Se Tarata Bhav Koopa ||
Chandra Bimb Anan Sukhakari,
Aksh Mala Yut Hans Savaari ||
Pavan Putra Ki Kari Sahai,
Lank Jaar Anal Sita Layi ||
Kop Kiya Dash Kandh Pe Bhaari,
Kutumb Sanhaara Sena Bhaari ||
Tu Hi Maat Vidhi Hari Har Deva,
Sur Nar Muni Sab Karte Seva ||
Dev Daanav Ka Hua Samvaad,
Maare Paapi Miti Baadha ||
Shri Narayan Ang Samaai,
Mohini Roop Dhara Tu Maai ||
Dev Daityon Ki Pankti Banaai,
Devo Ko Maa Sudha Pilai ||
Chaturayi Kar Ke Maha Maai,
Asuron Ko Tu Diya Mitaai ||
Nau Khangh Maahi Neja Pharka,
Bhaage Dusht Adham Jan Dara ||
Terah Sau Pachasat Ki Saala,
Aaswin Maas Pakh Ujala ||
Ravi Sut Bar Ashtami Jwaala,
Hans Aarudh Kar Le Kar Bhaala ||
Nagar Kot Se Kiya Payaana,
Pallu Kot Bhaya Asthaana ||
Chausath Yogini Bavna Bira,
Sang Mein Le Aai Randheera ||
Baith Bhavan Mein Nyaay Chukani,
Dwaar Paal Saadul Agvaani ||
Sanjh Savere Baje Nagaara,
Uthta Bhakton Ka Jaykaara ||
Madh Ke Beech Khadi Maa Brahmani,
Sundar Chhavi Hotho Ki Laali ||
Paas Mein Baithi Maa Veena Waali,
Utari Madh Baithi Maha Kaali ||
Laal Dhvaja Tere Mandir Phirka,
Man Harshaata Darshan Karke ||
Chait Asoj Mein Bharata Mela,
Door Door Se Aate Chela ||
Koi Sang Mein, Koi Akela,
Jaykaro Ka Deta Hela ||
Kanchan Kalash Shobha De Bhaari,
Divya Pataka Chamke Nyaari ||
Sees Jhuka Jan Shraddha Dete,
Aashirwad Se Jholi Bhar Lete ||
Teen Lokon Ki Karta Bharata,
Naam Liye Sab Karaj Sarata ||
Mujh Baalak Pe Kripa Ki Jyo,
Bhul Chook Sab Maafi Dijo ||
Mand Mati Yeh Daas Tumhara,
Do Maa Apni Bhakti Apara ||
Jab Lagi Jiyu Daya Phal Pao,
Tumharo Jas Main Sada Hi Gaao ||
|| Doha ||
Raga Dvesha Mein Lipta Man,
Main Kuttil Buddhi Agyaan ||
Bhav Se Paar Karo Maateshwari,
Apna Anugat Jaan ||
Found a Mistake or Error? Report it Now