|| Aarti ||
Aaiye hum Chinnamasta
Ki utaaren aarti.
Bhairavi bhi bhakti se
Dinraat charan pakharati.
Sang hai Vijaya Jaya ka
Rakta dhara bah rahi.
Lok mangal ke liye Maa
Kasht bhari sah rahi.
Sir hatheli par rakh sada
Rakh bhaktagan ko tarati.
Aaiye hum Chinnamasta
Ki utaaren aarti.
Rakta vasana sir vikhandit
Hasta do tan shyam hai.
Chinnamasta naam jiska
Rajrappa dhaam hai.
Jo Bhavani dusht daityon
Ka sada sanharati.
Aaiye hum Chinnamasta
Ki utaaren aarti.
Jo Sati Durga prachanda
Chandika Bhuvaneshwari.
Satva rajatam rupini Jay
Ambika Akhileshwari.
Jo Karali Kalika hain
Aur Kamala Bharti.
Aaiye hum Chinnamasta
Ki utaaren aarti.
Aaiye Maa ki sharan mein
Aur matha tekkiye.
Deenata daridra dukh ko
Door van mein phenkiye.
Bhakt ke kalyan mein
Jannani kahan kab harati.
Aaiye hum Chinnamasta
Ki utaaren aarti.
Found a Mistake or Error? Report it Now