Download HinduNidhi App
Share This

|| Chaupaii ||

Shri Raghubir bhagat hitkari
suni lije prabhu araj hamari ।
Nisidin dhyan dhare jo koi
ta sam bhakt aur nahi hoi ।।
Dhyan dhare shivji man mahi
brahma indra par nahi pahi ।
Jai jai jai raghunath kripala
sada karo santan pratipala ।।

Doot tumhar veer hanumana
jasu prabhav tihu pur jana ।
Tuv bhujdand prachand kripala
ravan mari suarn pratipala ।।
Tum anath ke nath gosai
deenan ke ho sada sahai ।
Bramhadik tav par na paven
sada eesh tumharo yash gave ।।

Chariu ved bharat hai sakhi
tum bhaktan ki lajja rakhi ।
Gun gavat sharad man mahi
surpati tako par na pahi ।।
Nam tumhare let jo koi
ta sam dhanya aur nahi hoi ।
Ram naam hai aparampara
charin ved jahi pukara ।।

Ganpati naam tumharo linho
tinko pratham pujya tum kinho ।
Shesh ratat nit naam tumhara
mahi ko bhar shish par dhara ।।
Phool saman rahat so bhara
pavat kou na tumharo para ।
Bharat naam tumharo ur dharo
taso kabahu na ran mein haro ।।

Naam shatrugna hridaya prakasha
sumirat hot shatru kar nasha ।
Lakhan tumhare agyakari
sada karat santan rakhwari ।।
Tate ran jeete nahi koi
yuddh jure yamahu kin hoi ।
Mahalakshmi dhar avtara
sab vidhi karat paap ko chhara ।।

Seeta ram puneeta gayo
bhuvaneshwari prabhav dikhayo ।
Ghat sp prakat bhai so aai
jako dehkat chand lajai ।।
So tumhare nit paon palotat
navo nidhi charanan mein lotat ।
Siddhi atharah mangalkari
so tum par jave balihari ।।

Aurahu jo anek prabhutai
so seetapati tumahi banai ।
Ichchha te kotin sansara
rachat na lagat pal ki bhara ।।
Jo tumhare charanan chit lave
taki mukti avasi ho jave ।
Sunahu ram tum tat hamare
tumahi bharat kul poojya prachare ।।

Tumahi dev kul dev hamare
tum gurudev pran ke pyare ।
Jo kuch ho so tumhahi raja
jai jai jai prabhu rakho laja ।।
Ram atma poshan hare
jai jai jai dasrath ke pyare ।
Jai jai jai prabhu jyoti swarupa
nirgun brahma akhand anoopa ।।

Satya satya jai satyavrat swami
satya sanatan antaryami ।
Satya bhajan tumharo jo gave
So nischay charon phal pave ।।
Satya sapath gauripati kinhi
tumne bhaktahi sab siddhi dinhi ।
Gyan hridaya do gyanswarupa
namo namo jai jagpati bhoopa ।।

Dhanya dhanya tum dhanya pratapa
naam tumhar harat sntapa ।
Satya shudh deva mukh gaya
baji dundubhi shankh bajaya ।।
Satya satya tum satya sanatan
tumahi ho hamare tan man dhan ।
Yako path kare jo koi
gyan prakat take ur hoi ।।

Avagaman mitai tihi kera,
satya vachan mane shiv mera,
Aur aas man mein jo hoi,
manvanchit phal pave soi,
Teenahu kal dhyan jo lave,
tulsidas anu phool chadhave,
Saag patra so bhog lagave,
so nar sakal siddhata pave.

Aant samay raghubarpur jai,
jaha janma haribhakta kai,
Shri haridas kahai aru gave,
so vaikunth dham ko pave.

|| Doha ||

Saat divas jo nem kar, path kare chit laye,
Haridas harikripa se, avasi bhakti ko pave.
Ram chalisa jo padhe, ram sharan chit laye,
Jo ichchha man mein kare, sakal siddh ho jaye

Read in More Languages:

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App

Download Shri Ram Chalisa PDF

Shri Ram Chalisa PDF

Leave a Comment