Download HinduNidhi App
Share This

|| Aarti ||

Ganpati ki seva, mangal meva,
Seva se sab vighn tarain,
Teen lok ke sakal devta,
Dwar khade nit arj karain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Riddhi-siddhi dakshin vam virajen,
Aru anand so chamar karain,
Dhoop-dip aru liye aarti,
Bhakt khade jayakar karain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Gud ke modak bhog lagat hain,
Mooshak vahan chadhya sarain,
Saumya roop ko dekh Ganpati,
Vighn bhag ja door parain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Bhado maas aru shukla chaturthi,
Din dopara door parain,
Liyo janm Ganpati Prabhu ji,
Durga mann anand bharain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Adbhut baja baja Indra ka dev,
Bandhu sab gaan karain,
Shri Shankar ke anand upjya,
Naam sunyo sab vighn tarain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Aani vidhata baithe asan,
Indra apsara nritya karain,
Dekh Ved Brahma ji,
Jako vighn vinashak naam dharain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Ekadant gajavadan Vinayak,
Trinayan roop anup dharain,
Pagthamba sa udar pusht hai,
Dev chandrama hasya karain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

De sharap Shri Chandradev ko,
Kalhin tatkala karain,
Chaudah lok mein firein Ganpati,
Teen lok mein rajya karain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Uthi prabhat jap karain dhyan,
Koi take kaaraj sarv sarain,
Puja kaal aarti gavain,
Take shir yash chatra phirain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Ganpati ki puja pehle karne se,
kaam sabhi nirvighn sarain,
Sabhi bhakt Ganpati ji ke
Haath jodkar stuti karain.

|| Ganpati ki seva, mangal meva…|| 

Read in More Languages:

Found a Mistake or Error? Report it Now

Download HinduNidhi App
Shri Ganpati Aarti PDF

Download Shri Ganpati Aarti PDF

Shri Ganpati Aarti PDF

Leave a Comment